Kaash Main Teray Haseen Haath Ka Kangan Hota
Kaash Main Teray Haseen Haath Ka Kangan Hota
Tu Baray Pyaar Say, Chao Say , Baray Maan Kay Saath
Apni Nazuk See Kalaee Main Charhati Mujh Ko
Or Be-Tabi Say Fursat Kay Khezaan Lamhon Main
Tu Kese Soch Main Doobi Jo Ghumati Mujh Ko
Teray Haath Ki Khushboo Say Mahak Sa Jata
Jab Kabhi Mood Main Aakar Mujhay Choma Karti
Teray Honton Ki Main Hiddat Say Dehak Sa Jata
Raat Ko Jab Bhi Tu Nindon Kay Safer Per Jati
Marmareen Haath Ka Ak Takya Banaya Karti
Main Teray Kaan Say Lag Kar Kaii Baatain Karta
Teri Zulfon Ko Teray Gaalon Ko Choma Karta
Jab Bhi Tu Band Quba Kholnay Lagti Jana
Apni Aankhon Ko Teray Husan Say Khaira Karta
Mujh Ko Be-Taab Sa Rakhta Teri Chahat Ka Nasha
Main Tere Roh Kay Gulshan Main Mehakta Rehta
Main Teray Jisam Kay Aangan Main Khanakta Rehta
Kuch Nahi Tu Yahi Be-Naam Sa Bandhan Hota
Kaash Main Teray Haseen Haath Ka Kangan Hota
[ Wasi Shah ]

































LinkBack URL
About LinkBacks











