mujhy mujzon pay yaqeen nhi
magar aarzoo hai keh jab qaza
mujhy bazam-e-dehar say lay chaly
tu phr ek bar yeh izan day
keh lehad say loot kay aa sakon
tery dar pay aa kay sada karon
tujhy gamgusar ki ho talab
tu tery hazoor mai aa rahon
yeh na ho tu suwy rah-e-adam
mai phr ek bar rawana hon





LinkBack URL
About LinkBacks













