tanhaa hai meraa Dil bayaaN kaise karoon
tu mujhko bhulaa de yeh gumaaN kaise karoon
tamaam shehar ki nazareiN hai meri chaukhat pe
maiN tere ishq ka elaan ai jaaN kaise karoon
zamaana pyar ki parwaaz ka dushman niklaa
hawayeiN tez hai unchi udaaN kaise karoon
toot ke Dil bikhar gayaa hai kaanch ki tarha
mai is toote hue ghar ko makaaN kaise karoon
tera ahsaan e mohabbat chukaaunga kaise
Qarz karna hai adaa meharbaaN kaise karoon
baad tere pareshani ne mujh ko ghair liaa
ab apni mushiklo'N ko mai aasaaN kaise karoon
hawaa k rukh pe "Diya" jal raha hai roz-o-shab
misaal ishQ hai meraa bayaaN kaise karoon

































LinkBack URL
About LinkBacks














