Kia ishq aik zindagi-e-musta'aar ka
Kia ishq payedaar se napayedaar ka
Wo ishq jis ki sham'a bujha de ajal ki phHooNk
Us maiN maza nahiN tapish-o-intezaar ka
Meri bisaat kia hai, tab-o-taab-e-yak nafas
Sho'lay se be mehel hai ulajhna sharaar ka
Kar pehle mujh ko zindagi-e-jaavidaaN ataa
Phir dekh zauq-o-shauq dil-e-beqaraar ka
KaaNTa wo de ke jiski khaTak lazawaal ho
YaRab! wo dard jiski kasak lazawal ho
(Dr. Allama Iqbal)

































LinkBack URL
About LinkBacks








2





