tu nahee'n tau ye nazara bhi bura lagta hai
chaand k paas sitara bhi bura lagta hai
la k jiss rauz se chhorha hai bhanwar mai tooney
mujhko darya ka kinara bhi bura lagta hai
be_wafai ka chalan aam huwa mardo'n mai
abb tau wo jaan se pyara bhi bura lagta hai
ho gaye khushk meri aankh k aansoo jab se
jheel mai koi shikara bhi bura lagta hai
shadi karna bhi hai zanjeer pehn ne ki tarah
lekin insan kanwara bhi bura lagta hai

































LinkBack URL
About LinkBacks













