AY mere humnashin chal kahin aur chal is chaman mein ab apanaa guzaaraa nahiin
Baat hotii gulon tak to sah lete hum ab to kaaNTon pe bhii haq humara nahin

Aaj aaye ho tum kal chale jaaoge ye muhabbat ko apanii gavara nahin
Umr bhar kaa sahara bano to bano do gharii kaa sahara sahara nahin

De sada dar par aur kabhii tuur par kis jagah main ne tum ko pukara nahin
Thokaran yun khilane se kya fayedaa saaf keh do ke milana gavara nahin

Gulisitan ko laoo kii zaroorat parii sub se pehale hii gardan humarii kaTii
Phir bhii kehtay hain mujh se ye ahal-e-chaman yeh chaman hai humara tumhara nahin

Zalimon apnii qismat pe nazaan na ho daur badalega yeh waqt kii baat hai
Woh yaqeenan sunega sadaain merii kyaa tumhara Khuda hai hamara nahin

Apnii zulfon ko rukh se haTa lijiye mera zauq-e-nazar aazama lijiye
Aaj ghar se chala hoon yahi soch kar ya tou nazarein nahin ya nazara nahin

Jaane kis kii lagan kis ke dhun mein magan hum ko jatay howay moor ke dekhaa nahin
Hum ne awaz par tum ko awaz dii phir bhii kehtay hain hum ne pukara nahin