Itni khubsurat ghazal Aye Mohabbat Tere Anjam Pe Rona Aaya-Begum Akhtar ki aawaz me.. moqa milay to zarur sunyega....


Ghazal

Aye Mohabbat Tere Anjaam Pe Rona Aaya

Jaane Kyon Aaj Tere Naam Pe Rona Aaya


Yun Toh Har Shaam Ummido Mein Guzar Jaati Hai
Aaj Kuch Baat Hai Jo Shaam Pe Rona Aaya


Kabhi Taqdeer Ka Matam Kabhi Duniya Ka Gila
Manzil-e-Ishq Mein Har Gam Pe Rona Aaya


Jab Hua Zikr Zamane Mein Mohabbat Ka ‘Shakeel’
Mujh Ko Apane Dil-e-Nakaam Pe Rona Aaya


Shakeel Badayuni