Boht din ho gye shayd sahara kar lia us nay
Hamaray baad bhi akhir guzara kar lia us nay
Hamara zikr to us kay labon pe aa nhi sakta
Hamen ehsas hai hum se kinara kar lia us nay
Wo basti ghair ki basti. wo koocha ghair ka koocha
Suna hai Ishq bhi ab tu dobara kar lia us nay,
Suna hai ghair ki baanhon ko wo apna samjhta hai
Ye lagta hai meray dukh ko gawara kar lia us nay





LinkBack URL
About LinkBacks















