Mujhay Tum say buhat pehLay

ik Zarori Baat kahni thi....

MaGar!

Waqt ka yeh KafiLa

Taizi say youn Guzra

key main kuch bhi na Keh Paya....

Aur hamaray Beech ki Baat

wo bhi to MukamaL ho Na paayi

phir aik diN AchaanaK

JaB mujh ko yaaD Aaya

Mujhay Tum say buhat PehLay

aiK zarori Baat karni thi

aur wo yeh key JaB

Aandaishy DartaY hooN

TumhaY weham satatay hooN

to mare Dost

Tum ageY Barh KeY

mareY shaneY pe sar rakh key

Apney diL ki har Baat Keh DeNa

main saray Dukh sun LooNGa....

UnhaiN apneY hontoN ko ChuuN LoNGa......!