Chup k chup k raat din aanso bahana yaad hai
Hum ko ab tak aashqi ka wo zamana yaad hai
Ba hazroon iztarab o sad hazaran ishtiaq
Tujh say wo pehlay pehal ka dil lagana yaad hai
Tujh say kuch miltay hi wo bey bak ho jana mera
Or tera wo danton main ungli dabana yaad hai
Khinch laina wo mera parday ka kona dafatan
Or dopatay say tera wo mun chupana yaaad hai
Aagaya gar wisal ki shab bhi kahin zikar-e-firaq
Wo tera ro ro kar mujh ko bhi rulana yaad hai
dopehar ki dhoup main meray bulanay k lia
Wo tera kothay pay nangay pown aana yad hai
Bawajood udaee itqan hasrat mujhay
Aaj tak Ahad-e-hawees ka wo fasana yaad hai
Hasrat Mohani

































LinkBack URL
About LinkBacks













