Yaad Kay Naam
Jins Dunya Say Guzar Jatay Hain
1) Jins Dunya Say Guzar Jatay Hain
Aisa Kartay Hain Keh Mar Jatay Hain
Kesay Hotay Hain Bicharnay Walay
Hum Ye Sochay Bhi Tu Dar Jatay Hain
2) Dil Jo Tootay Tu Sar Mahfil Main
Baal Be-Waja Bikhar Jatay Hain
Ab Na Dekho Meri Banjer Aankhon Main
Chartay Darya Tu Utar Jatay Hain
3) Dhoop Ka Roop Rachanay Walay
Shaam Ko Or Nikhar Jatay Hain
Ab Na Murr Murr Kay Pukaar Kaarwaan Ko
Log Rastay Main Thehar Jatay Hain
4) Khulay Daaman Say Shekayat Kesi
Ashq Aankhon Main Tu Bhar Jatay Hain
Tum Kaha Jao Gay Socho Mohsin
Log Thak Haar Kay Ghar Jatay Hain
[ Moshin Naqvi ]
































16Likes
LinkBack URL
About LinkBacks











