zahmat maray qatil tujay hogi na zara bhi
talwar bhi majood hai hazir hai gala bhi
dono hi aasiri ka sunati hain fasana
zangeer ki jhankar bhi payal ki sada bhi
karta hai haqaik say jub inkar zamana
hota hai kisi zahan kay goshay mea khuda bhi
phoothi hai kiran us kay dareechon say sahar ki
jis ghar ko mayasar na tha miti ka diya bhi
aijaz batatain hain ya halat kay taiwar
aik roz badal jain gay adab-e-wafa bhi.

































LinkBack URL
About LinkBacks









ubclub:*****



