Tumhari baat kaha'n ghaw bharnay wali hai
yahi kataar to dil mai utarnay wali hai
wo ja rahe hain to mehsoos ho raha hai mujhay
ye rail mujh ko kutchal kar guzarne wali hai
harr aik shakhs ab saaman hai tabahi ka
kisi bhi lamhay ye dunya bikharne wali hai
hamaray Film ye TV bata rahe hain hamain
hamaray mulk ki tehzeeb marne wali hai
khud apne aap sudhar jaiyye to behter hai
ye mat samjhye k dunya sudharne wali hai
bata diya hai mujhay sham ki udasi ne
ye raat merey hi ghar par thhehrnay wali hai

































LinkBack URL
About LinkBacks













