SALAM TO ALL,
Maan kitney dukh jhail k tu ne paala mujhko
hamesha ghamon k hisaar se nikaala mujhko
mera tashakhus gham-e-dooran se jab huwa maila
aa k jazbaat men apnay ashkoon men khangaala mujhko
nahamwaar raahon pe chaltay huwey men larkhraaya bohat
tu ne girtay huwey kae baar sambhaala mujhko
tu ne khud khaaya k nahin khaaya kabhi nahin poocha
apney hissay ka jab khilaaya nawaala mujhko
ger bura hon to qasoor mera apna hey
tha tu ne ik achey insaan men dhaala mujhko
sakhti-e-haalaat se ghabraaya to teray paas aaya
ik goosha apni aaghoosh men de daala mujhko
kiyon nam hen teri aankhen ye jab sawaal kiya
nakaam muskuraahat se her baar hi taala mujhko
dukh jitnay bhi diye tu ne mujhay muaaf kiya
apnay gunaahon ka na kerney diya azaala mujhko
poet wasim

































LinkBack URL
About LinkBacks













