Guftagoo kay Lamhon mein
dekh hi nahi Paataay
Hamm Tumhaaray Chehray ko
tum hamari Aankhon ko
Aaj aisa kartay hain
Chashm-O-Labb ko parhtay hain
Baat chorr daitay hain
Jaanay kya Lamhaa hoga
Jabb yeh Haath Haathon say
garr kabhi judaa hoga
Aaj aisa kartay hain Zabt-E-Jaan parakhtay hain
Haath chorre daitay hain
Kaash koi samjhaa day
Log kiss tarha Dill ki Mazilain alagg karr kay
Saath chorre daitay hain
Aaj aisa kartay hain
Bay-sabab bikharrtay hain
Zaat torr daitay hain





LinkBack URL
About LinkBacks













