sanam tarash magar aadab-e-kafiri bhi samajh.
har aik sang-e-sar-e-raah ko khuda na samajh.
mein tujh ko maang raha hon Qabool kar na kar,
yeh baat teri meri hay issy dua na samajh.
palat aaey ga wo aik din gai rutoN ki terha,
jo tujh se rooth gaya hay usay juda na samajh.
raah-e-wafa main koi aakhri muQaam nahi,
shikast-e-dil ko mohabat ki inteha na samajh.
har aik sahib-e-manzil ko ba-muraad na jaan,
har aik raah nasheeN ko shikasta paa na samajh.
ye aaj ki dunya mery wajood main he humdam,
mere sukhun ko mera hi tazkira na samajh

































LinkBack URL
About LinkBacks















