Bismillahirehmanirahim
Hasbi Rabbi Jall-Allah
Maa fi Qalbi ghair-Allah
Noor-e-Muhammed sall-Allah
La ilaha ill-Allah Muhammadur Rasulullah
Awwal-o-Aakhir hai Allah
Baatin-o-Zaahir hai Allah
Hafiz-o-Nasir hai Allah La ilaha ill-Allah
Jism may jaan may hai Allah
Kaun-o-makaan may hai Allah
Dono jahan may hai Allah La ilaha illAllah
Hasbi Rabbi jisnay kahaa
Faiz kay darya ko paayaa
Gohr-e-maqsad haat aaya La ilaha illAllah
Khul jain dar Jannat kay
Dozakh ki sub aag bujhay
Dil say jo ik baar kahay La ilaha ill-Allah
Murshad-e-kamil ka hai raaz
Deen-e-Nabi ka hai aijaaz
Ummat-e-Ahmad ka hai naaz
La ilaha ill-Allah Muhammadur Rasulullah
Aarz ghulam-e-faqir hai ab
Dakhil-e-Rehmat ho hum sab
Zikr qabul ho yeh ya Rabb La ilaha illAllah
La m’abuda ill-Allah
La maqsooda ill-Allah
La maujooda ill-Allah La ilaha illAllah
Zaat hai uski laasani
uski sift hai nooraani
Sirr kalaam-e-Ra’bbani La ilaha ill-Allah
Zikr-e-khafi o jalli hai yahee
Raaz asbaat o nafi hai yahee
Zikr paas-e-alfaaz yahie
La ilaha ill-Allah Muhammadur Rasulullah Sall-Allahu Ta’ala
alaihi wa aalihi wa sallam

































LinkBack URL
About LinkBacks













