hamaRay safaR meiN hamaRay saath bas diljalii si fiza nahiN
kuch tiShnagi ki sa'atien kuch udaa'siyOn k lamhay b hAiN

hameiN rozGaaR e hyaat nay ka'ee majboRiyon meiN jakar de'ya
so ye wajOod tu apni jaga sahi paR zindgi say gilay b hAiN

hameiN dey k hOsh e aagahii yOoN supurd e azaab ke'ya k hUm
faqt phOol ban kaR khilay nahiN chiraaGh bun kaR jalay b hAiN

teRey InteZaR meiN raat bhaR hum shama k saath rOo'ey b
chaand k sath Jjgey b auR sOoRaj k saath dhalay b hAiN

dua'yien b ki bohat magaR tujhay dhOondnay k waaStay
sang e chaak girebaa'N k hum khaaR khaaR chalay b hAiN

humeiN qismatoN ki kitaab k haR baab say hAiN shika'yatieN
hum nay tu suna tha In meiN sab buray nahi kuch bhalay b hAiN

Is dAsht e janOo k haath say bacha'ey rakhay sabi Ko Rab
wO azaab jO tum nay fqat sunay wo azaab hum ko milay b hAiN