Zindagi k jitney darwazy hain mujh par band hain
Dekhna
Hadd-e-nazar se aagy barh kar dekhna bhi jurm hai
Sochna
Apne aqeedon aur yaqeenon se nikal kar sochna bhi jurm hai
Kyun bhi kehna jurm hai....
kese bhi kehna jurm hai...
Saans lenay ki to aazadi muyassar hai……..magar
Zianda rehny k liye insaan ko…….kuch aur bhi darkaar hai
Aur…….is kuch “aur” bhi ka tazkira bhi jurm hai
Ay hunar mandaan-e-aaeen-o-siyaasat
Ay KHUDA WANDAAN-E-EEWAN-E-AQAID
Zindagi k naam par, bas ik inayat chahiye
Mujh ko in saary “jaraaym” k ijazat chahiay

































LinkBack URL
About LinkBacks












