Ab kia likhe kaghaz par ab likhne ko kia baqi hai
ik dil tha wo toot gaya ab tootne ko kia baqi hai
ik shakhs ko humne chaha tha,rait p naqsh banaya tha
wo rait tu kb ki bikhar gaye,wo naqsh kaha ab baqi hai
hum jinko apni nazmo ka unwan banaya karte the
lafzo ka bana k taj mehal kaghz p sajaya karte the
wo humko akela chor gaya,sab rishtoo se muun mor gaya
ab raste sare soone hain,wo pyar kahan ab baqi hai
ab kia likhe hum kaghaz par abb likhne ko kia baqi hai
ik dil tha woo toot gaya ab tootne ko kia baqi hai

































LinkBack URL
About LinkBacks















