Insha g utho ab koch karo, is shehar main dil ko lagana kiya
wahshi ko sakon sa kiya matlab, jogi ka nagar main thikana kiya
Is dil k dareda daman ko, dekho to sahi, socho to sahi
jis jholi main soo chaid howay, us jholi ka phelana kiya?
Shab beeti, chand bhe doob chala, zanjeer pari darwazay main
kun dair gay ghar ay ho, sajni sa karo gay bahana kiya?
Phir hijar ki lambi raat miaan, sanjok ki to ha ek ghari
jo dil main ha lub par anay do, sharmana kiya, ghabrana kiya?
Us roz jo un ko dekha ha, ab khawab ka alam lagta ha
us roz jo un sa baat hoi, wo baat bhe the afsaana kiya?
Us hussan k sachay moti ko, hum dekh sakain par cho na sakain
jisay dekh sakain par cho na sakain, wo dolat kiya, wo khazana kiya?
Us ko bhe jala dekhtay howay maan! ek shola lal bhaboka bun
yun ansoo bun beh jana kiya? yun maati main mil jana kiya?
Jub shahar k loog na rasta dain, kun bun main na ja basram karay
dewanon ki si na bat karay to or karay dewana kiya

































LinkBack URL
About LinkBacks








:




