kahi aah ban k lab pay tera naam na aa jaye
tujhy be wafa kaho mai wo maqam na aa jaye
zara zulf ko sambhalo mera dil dharak raha hai
koi aur taa'ir e dil tah e daam na aa jayae
jisay sun k toot jaye mera aarzoo bhara dil
teri anjuman se mujh ko wo payam na aa jaye
wo jo manzilo pe laa ker kisi humsafar ko lootain
unhi rahzano mai ter naam na aa jaye
ye mah o najoom hans lain mere aanso'on pe jalib
mera mahtaab jab tak lab e baam na aa jaye

































LinkBack URL
About LinkBacks










