kamal-e-zabat ko khud bhi to azmaoo gee,
mai apnay hath say uss ki dulhan sajaoo gee,
sapurd kar kay uss ko chandani kay hathoo mai,
mai apnay ghar kay andhairoo mai lot aoo gee,
badan kay karb ko wo bhi samjh nahi paye ga,
mai dil main roo gee ankhoo main muskraoo gee,
wo ik rishta be naam bhi nahi lakin,
mai ab bhi uss kay ...isharoo par sar jhukaoo gee,
bicha dya tha gulaboo kay saath apna wajood
wo so kay uthay to khawaboo ki raakh uthaoo gee,
jawaz doondh raha tha nai muhabbat ka,
wo kah raha tha k mai uss ko bhool jaoo gee,





LinkBack URL
About LinkBacks














