aaj aye dil lab-o-rukhsar ki baatein he sahi
waqt kat jaayega kuch piyar ki baatein he sahi
yun to kat-ti he rahegi ghum-e-dauraan mein hayat
aaj ki raat ghum-e-yaar ki baatein he sahi
zinda rahane ki kabhi to koi soorat nikle
isharat-e-aalam-e-deedaar ki baatein he sahi
koi to baat chirhe aaj bahut ji hai udaas
kam se kam rahmat-e-aghyaar ki baatein he sahi
ab to tanhai ko ye qarb na hoga bardaasht
kuch nahi to dar-o-deevaar ki baatein he sahi
ye bhi kya kam hai unhein qurbat-e-gul to hai naseeb
aaj gul ki na sahi khaar ki baatein he sahi
ye to taaye hai ke jiye jaayeinge her haal mein hum
un ke lab par rasan-o-daar ki baatein hi sahi





LinkBack URL
About LinkBacks







eldone Keep sharing +)




