Azmat-e-zindagi ko bech diya
ham ne apni khushi ko bech diya
chashm-e-saqi k ik ishare pe
umr ki tishnagi ko bech diya
rind jam-o-subu pe hanste hain
shaikh ne bandagi ko bech diya
rahguzaron pe lut gai radha
sham ne bansuri ko bech diya
jagmagate hain wehshaton k dayar
aql ne adami ko bech diya
lab-o-rukhsar ke iwaz ham ne
sitwat-e-khusrawi ko bech diya
ishq behrupiya hai ai 'Sagar'
ap ne sadgi ko bech diya
pucha kisi ne hal kisi ka to ro diye
pani main aks CHAND ka dekha to ro diye
nagma kisi saaz peh cehraya to hansh paray
gagch kisi nay saaakh se tora to roo diye
urta howa ghubaar sar-e rah dekh kar
injam hum ne isaq ka socha to rah diye
badal fiza main ap ki Tasveer ban gaay
sayed kohi kyal se guzra to roo paray
rang-e Safiq se aag sagofon main lag ghi
SAGAR hamaray Haath se jalka to Roo Paray
wo bulayen to kya tamasha ho
ham na jayen to kya tamasha ho
ye kinaron se khelne wale
dub jayen to kya tamasha ho
bandaparwar jo ham pe guzri hai
ham batayen to kya tamasha ho
aj ham bhi teri wafaon par
muskurayen to kya tamasha ho
teri surat jo ittefaq se ham
bhul jayen to kya tamasha ho
waqt ki chand satein 'Sagar'
laut ayen to kya tamasha ho
bat phulon ki suna karte the
ham kabhi sher kaha karte the
mashalen leke tumhare gam ki
ham andheron mein chala karte the
ab kahan aisi tabiyat wale
chot kha kar jo dua karte the
tark-e-ehsas-e-muhabbat mushkil
han magar ahl-e-wafa karte the
bikhri bikhri zulfon wale
qafile rok liya karte the
aj gulshan mein shaguf-e-sagar
shikawe bad-e-saba se karte the
bargashta-e-yazdan se kuch bhul hui hai
bhatke hue insan se kuch bhul hui hai
ta hadd-e-nazar shole hi shole hain chaman mein
phulon k nigehban se kuch bhul hui hai
jis ahad mein lut jaye faqiron ki kamai
us ahad ke sultan se kuch bhul hui hai
hanste hain meri surat-e-maftun pe shagufe
mere dil-e-nadan se kuch bhul hui hai
huron ki talab aur mai-o-sagar se hai nafrat
zahid tere irfan se kuch bhul hui hai
bhuli hui sada hun mujhe yad kijiye
tum se kahin mila hun mujhe yad kijiye
manzil nahin hun khizr nahin rahzan nahin
manzil ka ranta hun mujhe yad kijiye
meri nigah-e-shauq se har gul hai dewta
main ishq ka khuda hun mujhe yad kijiye
nagmon ki ibtida thi kabhi mere nam se
ashkon ki intaha hun mujhe yad kijiye
gum-sum khari hain donon jahan ki haqiqaten
main un se kah raha hun mujhe yad kijiye
"Sagar" kisi ke husn-e-tagaful shar ki
bahki hui ada hun mujhe yad kijiye
chandni ko rusul kahta hun
bat ko bausul kahta hun
jagmagate hue sitaron ko
tere pairon ki dhul kahta hun
jo chaman ki hayat ko das le
us kali ko babul kahta hun
ittefaqan tumhare milne ko
zindagi ka husul kahta hun
ap ki sanwali si surat ko
zauq-e-yazdan ki bhul kahta hun
jab mayassar ho sagar-o-mina
barqparon ko phul kahta hun
chupaye dil mein gamon ka jahan baithe hain
tumhari bazm mein ham bezaban baithe hain
ye aur bat k manzil pe ham pahunch na sake
magar ye kam hai k rahon ko chan baithe hain
fugan hai dard hai soz-o-firaq-o-dag-e-alam
abhi to ghar mein bahut mehrban baithe hain
ab aur gardish-e-taqdir kya satayegi
luta k ishq mein nam-o-nishan baithe hain
wo ek lafz-e-mohabbat hi dil ka dushman hai
jise shariat-e-ehsas man baithe hain
hai maikadon ki baharon se dosti 'Sagar'
baraye had-e-yaqin-o-guman baithe hain
ek muddat hui ek zamana hua
khak-e-gulshan mein jab ashiyana hua
zulf-e-barham ki jab se shanasai hui
zindagi ka chalan mujremana hua
phul jalte rahe chand hanste raha
arzu ka muqammal fasana hua
dag dil k shahanshah k sike bane
dil ka muflis-kada jab khazana hua
rahbar ne palat kar na dekha kabhi
rahr-o-raste ka nishana hua
ham jahan bhi gaye zauq-e-sajda liye
har jagah ap ka astana hua
dekh mizarab se khun tapkane laga
saz ka tar marg-e-tarana hua
pahle hoti thi koi wafa-parawari
ab to "Sagar" ye qissa purana hua
ek wada hai kisi ka jo wafa hota nahin
marmari taron bhari raton mein kya hota nahin
ji mein ata hai ulat dein un k chehre se naqab
hausla karte hain lekin hausla hota nahin
shama jis ki abru par jan de de jhum kar
wo patanga jal to jata hai fana hota nahin
Teri duniya mein ya RUB zeest ke saman jalate hain
Fareb-e-zindagi ki aag mein insaan jalate hain
Dilon mein azmat-e-tauheed ke deepak afsurda hain
Jabinon par riya-o-kubr ke saman jalate hain
Hawas ki bar-yabi hai Khirad-mandon ki mahafil mein
Rupehli tikliyon ki oot mein eman jalate hain
Hawadis raqs-farma hain qayamat muskurati hai
Suna hai nakhuda ke naam se toofaan jalate hain
Shagoofe jhoolate hain is chaman mein bhook ke jhoole
Baharon mein nasheman to bahar-e-unwaan jalate hain
Kahin pazeb ki chan-chan mein majboori tarapti hai
Riya dam tod deti hai sunehre daan jalate hain
Manao jashn-e-may-noshi bikhrao zulf-e-may khana
Ibadat se to "Sagar" dahar ke shaitaan jalate hain............
Greatest Poetry By: Sagar Siddiqi

































LinkBack URL
About LinkBacks

















