Main iltafaat-a-yaar ka qaayal nahi hoon dost
Sonay ke narm taar ka qaayal nahi hoon dost
Mujhko khizaan ki eik lutti raat se hai pyaar
Main ronaq-a-bahaar ka qaayal nahi hoon dost
Har shaam wasl ho naye tamheed-a-aarzu
Itna bhi intazaar ka qaayal nahi hoon dost
Do chaar din ki baat hai ye zindagi ki baat
Do chaar din ke pyaar ka qaayal nahi hoon dost
Jis ki jhalak se maand ho ashkon ki aabroo
Us motiyon k haar ka qaayal nahi hoon dost
Laya hoon be hisaab guna'hon ki aik fard
Mehboob hoon shumaar ka qaayal nahi hoon dost
Saaghar ba'qadr-a-zarf lutaata hoon naqd-a-hosh
Saaqi se main udhaar ka qaayal nahi hoon dost





LinkBack URL
About LinkBacks














