~GHAZAL~
MaiN ney aaghaz sey anjaam-e-safar jaana hai
Sub ko do chaar qadam chal k theher jaana hai
Gham woh sehra-e-tamanna k bagoley ki tarah
Jis ko manzil na mili us ko bikhar jaana hai
Teri nazroN meiN merey dard ki qeemat kya thi
Merey daaman ney to aansu ko gohar jaana hai
Ab k bichRey to na pehchaan sakeN gey chehrey
Meri chahat terey pindar ko mar jaana hai
Janey waley ko na roko k bharam reh jaey
Tum pukaro bhi to kab us ko theher jaana hai
Tez sooraj meiN chaley aatay haiN meri janib
DostoN ney mujhey sehra ka shajar jaana hai
Zindagi ko bhi terey dar sey bhikari ki tarah
Aik pal k liyey rukna hai guzar jaana hai
Apni afsurda mizaji ka bura ho k Faraz
Waqeya koi bhi ho aankh ko bhar jaana hai





LinkBack URL
About LinkBacks















