Mausam ki tarah janay kiu kuch log badal gaye
ub sarary musam dil kay janay kiu khizaan hu gaey
Ajeeb say dasht-o-sehra main bhatak rahin hain hum
seairaab hu kay samandar say janay kiu pyasay hu gaey
Jalti hui rait main nagain paoon chltian hain ub tu hum
tapti hui dhoop main janay kiu be-saibaan hu gaey
Bari muddat kay baad ek roshni ki chamak ju mili thi humain
wo chandi ki roshni wo tarey sub janay kiu undhera hu gaey
Meri mohabbat ku na keray ga shumar wo kahbhi upni zindagi main
hum us ajnabee kay payr main janay kiu dewane hu gaey
Koi malaal na koi yaad baqi rahi hay ub dil main humaray
us ku tammam yadien lauta ker janay kiu hum jaan say gaey
Guzray dinu ki chund yaddon ku bhi ajj hum nay duffan ker dya
aur sub kuch bhola ker hum bhi janay kiu ajnabee hu gaey
Humain ub na pukurna phir say ae dostoon khabhi
is bewafa dunia main reh ker janay kiu hum bhi bewafa hu gaey
Bahaar phir say na aye gi ub is ujray huay chaman main ainy
pholoon kay khilnay kay janay kiu wo sarey musam beet gaey

































LinkBack URL
About LinkBacks












