Janat nazir hai meri Maan
rehmat ki tasveer hai meri Maan
mein aik khowab hoon zindagi ka
jis ki tabeer hai meri Maan
Zindagi key Khatan rastoon mein
Mashal-e-rah hai meri Maan
merey her gham, her dard mein
aik niya josh, walwala hai meri Maan
Meri haar, meri nakaami wabasta mujh sey hai
meri jeet meri kamyaabi ka raaz hai meri Maan
Chupa laiti hai her zakham ko wo marham ki tarha
Merey her dard her gham ki dawa hai meri maan
Dunya mein nahein hai koi neim-ul-badal uska
Mamta mein hai mukamal faqat meri Maan





LinkBack URL
About LinkBacks














