Safar malaal ka hai aur chal rahi hoo main
Ghubaar-e-shab ki udaasi main dhal rahi hoo main
Ajeeb baraf ki barish badan par utari hai
Keh jis ki aag main chup chap jal rahii ho main
Phir eik chiraagh jala shaam ki haveli main
Phir eik dard saye aakhir sanbhal rahi hoo main
Yah rak rakhoo usaye janun'nay naheen daye ga
Kaye apnaye aap mai kaisaye pighal rahii hoo main
Yeh ishq sach saye juda kaisaye ho gaya jaanan?
Ab is sawal saye bhair nikal rahii hoo main
Bas eik ishq meri zaat par saheefa ho
Mere khuda! yeh aqeeda badal rahi hoo main

































LinkBack URL
About LinkBacks













