Hazrat Mian Mohammad Bakhash R.A Horaan Neh kujj shair Jehre Sachi ne baary ich aakhy gaye neh..
Kaneen Suniyaan Gallan Andar Koor Toofan Batairy,
Paao'n Sairr Bana'ndi Halqat Ahbar Ghaney Ghanairy
Kaneen Suniyaan = Kaano'n sunien
Koor = Jhoot
Batairy = Bohet Zayda
Paao'n = Paao
Sairr = Kilo
Ahbar = Bohet hee bara jhoot
Suni sunaai Baaton main bohet zayada jhoot hoty hain, Dunia aik paao se aik sair bana leti hay yaani k logg baat ka batanger bana lety hain aur iss qadar jhoot bolte hian kay jiss ka koi shumaar hee nahi.
Jhoote Naghme Chaa uthawan Jiss wich Sach Na Maasa
Bewaqoof Mannann Sach iss noo'n Karran Seyaany Haasa...
Chaa uthawan = Uthana, aik hee lafz do baar hay
Maasa = maasha, (sonay waala Maasha0.97 grams (0.034 oz) to be precise
)
Logg jhoote geet gaana shuru ker dete hain jinn main zara bhi sachaai na ho. Aur Bewaqoof aesi baaton ko sach maan lete hain jab ke Samjhdaar aur Daana Logg aesi baaton pe hanste hain...
Change Change Sugharr kahavann Jhagre Karan iss Gall day
Aqaal Qayas na Lorann Moolay Bay-Aqlaan wich Raldey
Jo khud ko bare mehzab aur samjhdaar kehlvaaty hain woh iss baat pe jhagre karte hain. Aqqal aur qayas se bilkul kaam nahi lete aur bay-aqlon main shamil ho jaaty hain..
Suniyaan Gallan teh Kee Yaaverr Bhaajon Ilm Kitaabon
Jo alim day moonhon suniayy Sooi Khari Hisaabon..
Yaaver = Bharosa
Bhaajon = Baad
Sooi = Wohi
Jo baat ilm aur kitaab ke ilava sunaai jaay uss ka kesy aitbaar kia jaay? Baat wohi khari sahi aur durust hoti hay jo kissi Aalim kay moonh sey suni jaay...
chaaron shairon main yehi kaha gaya hay. kay suni suaani her baat ko sach nahi maan lena chaahiay aur Tehqeeq aur tasdeeq zarooro hoti hay kiyoun k Logg choti see baat ko itna bara ker dete hain. Saath saath yeh bhi batya gaya hay ke Aik Samjhdaar aur Bewqoof main kia farq hota hay.

































LinkBack URL
About LinkBacks

)









![[SIGPIC]](http://forum.urduworld.com/signaturepics/sigpic195940_8.gif)

bohet shukria ....



