Aankhon ka rang, baat ka lehja badal gaya....
Wo SHAKHS aik shaam main kitna badal gaya...
Kuch din to mera AKS raha aaine pe naqsh,,,
phir youn huwa k khud mera chehra badal gaya...
Jab apnay apnay haal pay hum TUM na rah sakay,,,
To kya huwa jo hum say zamana badal gaya...
Qadmon talay jo rait bichhi thi woh chal pari,,,
US NAY chhuraaya haath to sehra badal gaya...
koi bhi cheez apni jagah par nahi rahi,,,
JAATAY HI EIK SHAKHS k, kya kya badal gaya...
Ek sarkhushi ki mojj nay kesa kiya kamal,,,
Wo BAY_NIAAZ saara ka saara badal gaya...
Uth kar chala gaya koi waqfay k darmiaan,,,
Parda utha to SAARA TAMAASHA badal gaya...
Hairat say saaray lafz usay dekhtay rahay,,,
Baaton main apni baat ko kesay badal gaya...
Kehne ko ik sehan main deewaar hi bani,,,
Ghar ki fiza makaan ka naqsha badal gaya...
SHAAYAD WAFA K KHEL SAY UKTAA GAYA THA WHO,,,
MANZIL K PAAS AAKAY JO RAASTA BADAL GAYA...
Qayem kisi bhi haal pay dunya nahi rahi,,,
TAABEER KHO gayi kabhi SAPNA badal gaya...
Manzar ka rang asal main saaya tha rang ka,,,
Jis nay usay jidhar say bhi dekha badal gaya...
Andar k mosamon ki khabar US ko ho gayi,,,
US NO-BAHAAR-E-NAAZ ka CHEHRA badal gaya...
Aankhon main jitna ashk thay jugnoo say ban gaye,,,
WHO MUSKRAAYA or meri dunya badal gaya...
Apni gali main apna hi ghar dhoondhtay hain log
Amjad~ ye kon sheher ka naqsha badal gaya…….

































LinkBack URL
About LinkBacks










Pehla Intikhaab Jo Aap Ne Paish Kiya Hai Woh Ham Ko Bouhat Hi Pasand Hai...



