teri surat nigahon main phirti rahe ishq tera sataye to main kya karon
koi itna to aa akr bata de mujhe jab teri yaad aye to main kya karon
main ne khak-e-nasheman ko bose diye aur yeh keh ke bhi dil ko samjha diya
aashiyana banana mera kaam tha koi bijli giraye to main kya karon
husn aur ishq dono main tafreeq hai kya karon mera dono pe eemaan hai
gar khuda roth jaye to sajde karon aur sanam roth jaye to main kya karon
main ne maangi thi yeh masjidon main dua main jise chahta hon woh mujh ko mile
jo mera farz tha main ne pura kiya ab khuda hi na chahe to main kya karon

































LinkBack URL
About LinkBacks













