kaisa maftooh sa manzar hai kayee sadyo'n say
merey qadmo'n pe mera sar hai kayee sadyo'n say
khauf rehta k sailab na le jayain kahee'n
tera ghar hai meri palko'n pe kayee sadyo'n say
uss k paani mai bhi pehla sa wo thh'ehraw nahee'n
ye jo be-chain samandar hai kayee sadyo'n
ashq aankhon mai sulagte huway so jate hain
ye meri aankh jo patthar hai kayee sadyon sey
kaun kehta hai mulaqat meri aaj ki hai
tu meri rooh k andar hai kayee sadyon sey
ye mujhay sans bhi khul kar nahi laine daita
meri shai rag pe jo khanjar hai kai sadyo'n sey
mainay jiss k liye harr shakhs ko naaraz kiya
rootth jaye nayahi darr hai kayee sadyo'n sey
uski aadat hai jarhain kat'tay rehnay ki WASI
jo meri zaat ka mehwar hai kayee sadyo'n say

































LinkBack URL
About LinkBacks













