woh jo ham mein tum mein qaraar tha, tumhain yaad ho keh na yaad ho
wohi waada yaani nibaah ka, tumhain yaad ho keh na yaad ho
woh jo lutf mujh pay thaa paishtar, woh karam keh tha meray haal per
mujhay sab hai yaad zara zara, tumhain yaad ho keh na yaad ho
woh naye gillay, woh shikaayatain, woh mazay mazay ki hikaayatain
woh her ik baat pay roothna, tumhain yaad ho keh na yaad ho
koi baat aisi agar hoi keh tumhaary jee ko bura laga
to bayaan say pehlay hi bolna, tumhain yaad ho keh na yaad ho
kabhi ham mein tum mein bhi chaah thi, kabhi ham mein tum mein bhi raah thi
kabhi ham bhi tum bhi thay aashna, tumhain yaad ho keh na yaad ho
woh bigarna wasl ki raat ka, woh naa maan'na kisi baat ka
woh nahi nahi ki her aan sadaa, tumhain yaad ho keh na yaad ho
jisay aap gintay thay aashna, jisay aap kehtay thay baawafaa
mein wohi hon MOMIN-e-mubtila, tumhain yaad ho keh na yaad ho

































LinkBack URL
About LinkBacks











