dukh marnay ki tarah bicharnay walon ka bhi hota hai....
marnay waalon ka kya kahna
wo to mar kar matti main dafan ho jaatay hain....
aur
aakhir kaar kabhi na kabhi,,
unki yaad dil say nikal jaati hai...
magr......
bicharnay waalay ka intzaar hamesha rahta hai...
zara si aahat par dil chonk parta hai...
har maanos si awaaz par us ka gumaan hota hai...
un ki yaad dil main hamesha nashtar ki chubhti rahti hai....
jaanay wala to shaayad duniya ki bheer main gum hojaata hai...aur peechay murr k bhi nahi dekhta
intzaar karnay waala kis haal main hai...
wo intzaar ki aziyat sah sakay ga ya nahi.??
magr.....
phir bhi intzaar karnay wala us ki raah main aankhen bichae...
jaanay waalay ka intzaar karta hai k shaayad....
wo rasta bhool kar
idhar aajae
aur
nazron ki pyaas bujh jaae...
Bas yehi mushkil hai k bhool jana insan k bas main nahi.....
jo hadsa ek dafa guzur jae, wo yad ban k bar bar guzrata hai....
bholne ki koshish hi usay zinda rakhti hai...
Insan zalim ko maaf kar sakta hai...!!!
lekin
us k zulm ko bhool nahi sakta...
bhool jana insan k ikhtiyar main nahi....
Mosam guzar jate hain din maah o saal guzar jate hain..
lekin
yaad nahi guzarti...
marhoom zamano ki yaad marhoom nahi hoti...
puraane chahre naye chahroon main nazar ana shuru hojate hain...
puraane gham naye gham main shamil nazar ate hain...
Puraani yad nayi zindgi k saath chalti hai...
Tah dar tah yaad insan k andar hamesha mahfooz rahti hai....
Yad se nijaat ki koshish daldal se nijaat ki koshish ki tarah raaegan hojaati hai..
ham yaad se nahi nikal sakte....yaaden rah jati hain......





LinkBack URL
About LinkBacks












