very nice choice. keep it up..be happy
This is a discussion on meer taqi meer ( famouse ghazal ) within the Ghazal part of the Urdu Poetry category of Urdu World Forum, Patta patta, boota boota, haal hamaaraa jaane hai, Jaane na jaane gul hi na jaane, baagh to saaraa jaane hai. Aage us mutkabbar ke ham ... tags:
Patta patta, boota boota, haal hamaaraa jaane hai,
Jaane na jaane gul hi na jaane, baagh to saaraa jaane hai.
Aage us mutkabbar ke ham Khuda Khuda kiya karte hain,
Kab maujud Khuda ko woh maghrur khud-aara jaane hai.
Aashiq saa to saada koi aur na hoga dunya mein,
Ji ke zian ko ishq mein uske apna waara jaane hai.
Chaaraa gari beemari-e-dil ki rasm-e-shahr-e-husn nahin,
Warna dilbar-e-naadaan bhi is dard kaa chaara jaane hai.
Mehr-o-wafa-o-lutaf-o-inait, ek se waqif in mein nahin,
Aur to sab kuchh tanz-o-kanaya, ramz-o-ishara jaane hai.
Aashiq to murdah hai hamesha ji uthta hai dekhe use,
Yaar ke aa jaane ko yakaayak umr do baara jaane hai.
Tashna-e-khun hai apna kitna, Mir bhi naadaan, talkhi-kash,
Damdaar aab-e-tegh ko uske aab-e-gawara jaane hai.
بچھڑتے وقت جو تم سونپ کر گئے تھے مجھےوہ انتظار مرے چار سو ابھی تک ہے
very nice choice. keep it up..be happy
buhat umdah sharing..........
oUtcLaSs sHaR!!Ng...
sOoOoOoOoOoPeR...
bEaUt!!FuLL cHo!!Se...
wElDoNe
kon kehta hy k aadmi apni kismat khud likhta hy
agar yeh sach hy tu kismat mein dard kon likta hy
Bohat Khoob
mere pra k liye *****
hain tu kam
baqi dhairoon duaein
Allah aap ko khush rekhay Amin!
Very nice sharing.
"Hum Un Se Hut Kar Chalthey Hai Jo Rasthey Aam Ho jaayein"
Bohot khoob.....keep it up!!!
Bohat Khoob ,,.,,.,,.,,
Bookmarks