Aaj phir wo ussi raah se guzra tha jahan wo dono mila kartay thay.. Wo aaj bhi, theek ussi waqt, us raah se guzar raha tha.. Is aas mai, k shayad aaj wo usko dikh jaaye, shayad aaj uski aankhon ko qarar aajaye .. Waqt bhi wohi .. Jaga bhi wohi .. Magar haalaat pehly jesay na thay .. Shaam k 7 bajj gaye, uski aas dam torh gai .. Aur wo aagay chal diya …. !
Chaltay chaltay uska zehen usko phir usi daur mai le gaya, jahan wo dono ik saath hua kartay thay .. Kehnay ko tou unkay darmiyan koi rishta na tha .. Magar jaanay wo kya tha, jo un dono ko ik doojay k sath yoon jorhta tha .. Jesay wo banay hi ik doosray k liye hon ..
Wo chalta raha .. Kisi manzil ki jaanib tou nahin .. Magar us jaga se duur .. Jahan wo roz shaam 7 bajay tak beth kar uska intezaar kiya karta tha .. Din hafton mai aur haftay maheeno mai tabdeel hogaye .. Magar uska intezaar khatam karnay koi na aya …
Wo chalta raha..
……..
“Mai humesha tumharay saath rahoongi .. Haalaat chaahay jesay bhi hon.”
“Sach kehti hou na?”
“Kyun, meri baaton ka aitbaar nahin?”
“Aitbaar hai, magar dar lagta hai.”
“Kis baat ka?”
“Pata nahin.”
“Hahaha. Anjaani baaton se bhi koi darta hai?”
“Nahin, magar mai darta hoon, tumhe khonay se.”
“Ofho, maine kaha na, mai tumharay sath rahoongi, humeshaaa.”
“Waada?”
“Waada!! Chalo mai ab jaati hoon, 7 bajj gaye.”
………
Ik aansu uski aankh se tapka or zameen’bos hogya .. Larkharatay hue qadam, sambhal na paaye .. Aur wo girtay girtay bas yahi keh saka ..
“Jhoot kehti thi tum.”
___________________

































LinkBack URL
About LinkBacks























