aik kahani jisay paRh kar dil khoon ro dya.................
***********
kotthri say tekhhi barchi ki tarah roshni ki lakeer aik jhiri say bahar aa rahi thi.betthak kay baRay takhtooN ki draaR say bhi roshni safed laho ki dhaar ki tarah bahar ja rahi thi. aaNgan kay beech aik purana or ghana neem tha.neem kay neechay wo mazi kay totay hoey dhagay jooR jooR kar koi kahani bun raha tha..kachay puranay dhagay.
kali andheri raat,tap tap barish ki nanhi nanhi bondaiN,kabhi badal garjtay,kabhi bijli chamakti.
us kay chaar betay thay,usay un ki shadi ki fikar thi,pichhwaRay doo kotthriyaaN thiiN, aagay aik kamra tha or bahiri darwazay kay nazdeek aik betthak thi.
baRay laRkay ka bayah hua to pichhli kotthri us kay liye or uski ghar wali kay liye makhsoos ho gai.
dosray laRkay ka bayah hua to peechhay ki dosri koothhri maiN baap ka aana jana band ho gaya.ab us kothhri maiN dosra laRka or us ki beewi rehtay thay.
teesray laRkay ko shadi kay baad aagay wala kamra mil gaya.
ab usay chothay betay ki fikar thi.is aakhri laRkay kay lachhan theek nahiN thay .kheti baRi maiN uska jee nahi lagta tha agar ye kuNwara reh gaya to loog kya kahaiN gay.
aakhir aik din chothay laRkay ki bhi shadi ho gai us nay jahez ka saman betthak maiN saja dya .
boRha baap neem kay neechay aa gaya .bilkul akela or har fikar say aazaad, wo soch raha tha ye neem kaat kar wo apnay liye aik kacha sa kottha kyooN na daal lay ,lekin us kay marnay kay baad charooN betay kottha kesay bantay gaiN? neem ka darakht to chaloo kaat kar bant bhi laiN gay.
aik baar wo utth kar gurdwaray ki taraf janay laga lekin phir lout aaya. loog kya kahaiN gay ? itnay baRay khaandaan ka malik or............
ab wo khes ki bukul maray neem kay neechay bettha tha .tap tap aahista aahista barish ho rahi thi or us kay kapRay aik aik karkay bheegtay ja rahay thay.

































LinkBack URL
About LinkBacks












