Asalam o Alaikum,
Bara zulam hai, jissay daikhoo ishq mohabbt payar wafa hijar o visaal kay nashay mein dhutt khud khawaar hota hai dosroon ko karta hai.. funkar banay baithay hein mohabbat kay shereen lafzoon ka jadu dikhatay nahi thaktay.. magar yaqeen hai dard zamanay ka insaan ka insaniyat ka inhee diloon mein jagay ga tu iss andhairee raat kee sehar hoo gi. mein kankar phainkta hoon iss umeed pay kay jo soo gai hai sooch woh jaagay gi, tarjeehaat jo zulaf e garh geer say niklay gi tu badal day gi zamanay ka chalan. mein janta hoon banjar nahi hai bus thoor qehat saali hai, num hoo gi tu yehe zameen soona uglay gi, uthai ki jab awazz tu avanoon kay dar o divaar ko hilla dallay gi.. bari umeed hai... bara yaqeen hai.. iss kay saharay aghar karta hoon.. ishq o mohabbat say bohat door insaan kay dukh say dard say uthi awaaz ko tasveer kany ko iltaja karta hoon.. !! kuch tasaveer aur kuch nazmain yahaan paish karta hoon keh aap apnay fun ko gasoo e yaar say jab mufursat payain tu in pay bhi nazar karain.. in ko bhi rung bharain keh yeh peghaam phailay aur un kanoon tuk un ankhoon tuk bhi pohanchay jahaan arsay say qufal para hai, uss lahoo ko bhi garmayain jo ghungroon ki jhankar mein jhoomtay jhoomtay apnay mainoon ko maqsad ko masraf ko hee bhool baitha hai. !! mujhay umeed hai mere dost yar behan bhai mujhay na umeed na karain gai.

































LinkBack URL
About LinkBacks




















