kabhi tum nay socha k tumhare baghair main kitni akeli hon kitni tanha....... saath guzre yeh saal ka aik aik lamha ankhoo.n main tehrne ki koshish karta hay per har aks dundhlata ja raha hay .... ashk hain k betaab hain khaak basr hone k leye.... kahtey hain k aise lamhe mubarak hotey hain in main neer bahana naik shagun nahi...... bas yehi soch k reh jaati hon..... tum sey bicharne ki ghari talwaar ki tarha sar pe latak rahi hay...... pata nahi kya ho... kuch keh bhi paon gi ya nahi........ ya hasb-e mamool be-maani si be-jaan hansi hans k tumhain wida kar doon gi......
tumhain pata nahi yaad rahe na rahe ... chalo aaj guzrey pal dohraate hain... wo sab pal jin main main shaad tu tum khsuh... tum dukhi tu main malool rahi.... yaar ye kuch saal chabees baras sey zayada qeemti tehrey hain.... k aik aik guzra pal pallo sey bandhey bethi hon... gira na khooli aaj tak k bikhr na jain ye sab... per chalo aaj guzrey din dohrate hain k aane wali rutoon main shaid phir mouqa na mile....
ye soch soch k hi dill bethey jata hay k ab meri baatain koun samjhey ga... koun mujhe hansay ga........
aur kya kya likhoo.n bohat kuch hay likhne ko bohat kuch hay dohrane ko per chalo phir kabhi sahi zindagi nay wafa ki saansain aati jaateen raheen tu mil k karain gai yaad un tammam pal ko jo bohat yaad aa rahey hain aaj........ tum nay jana tha tum jao geh aur shaid bohat jald bhool bhi jao k koi tumhaari dost thi nihaayat ahmaq si... pagal si... chalo bhool hi jana k yaadain mehz qarb ata karti hian
jahan raho bohat bohat khush raho... itna khush k jis ka tasawer bhi na kya ho kabhi tum nay.... khuda tumhraai har arzo pori karay ameen summa ameen
__________________
salam
pata ni yeh image ke sath ban sakta hai maine yaha seh hi copy kiya hai yeh ek kahani tee poem nahi hai lekin muje baot achi lagti hai agar ho sakta hai plz ek sad larki ki image bana den thankyou so much

































LinkBack URL
About LinkBacks








App kaheen to os ko waysay jaysay App nay kaha hay ban daytay heen Par Runnig Text may Pic sath ho to Image may Jaan Mushkil say he ate hay @};-






