Assalam o alaikum.
kesay hain ap sab log,umeed krti hun boht khush aur boht achay.........
kuch din pehlay Shoaib bhai nay aik thread lagaya tha lake Saif_ul_malook woh pictures dekh kay mujhay yeh iqtibas yad aya.jesa kay me keh chukki hun kay mera fav hai to dil kia kay ap sab logon kay sath share karoo
novel.................... .Bichoo
writer................... .Anwar Aleegui
to janab iqtibass shuru.................... ......
sorry introduction to karana hi bhul gai
Saahil Umar hero hain aur Bazghar aik mavraai kirdar hai....woh jheel safulmalook ki saer ko ja rahay hain.....
"ap kabhi is ilaaqay me aain hain"? Bazghar nay sawal kia..
"nahi.......aj tak nahi............wesay Sawat Gilghat,Kashmiraur Murree wagaira me ne dekh rakhay hain"Sahil Umar nay btaya..
"bas to phir is ilaaqay kahusn dekhye,me apko jheel Saif_ul_malook tak le chalun ga"
"woh jheel Saif_ul_malook jis kay baaray me kaha jata hai kay isqader haseen hai kay wahan paryan utarti hain...kia waaqai aisa hai"?Sahil Umar ne ishtiyaq se poocha
"kia ap paryon per yaqeen rakhtay hain"? Baazghar jaatay jaatay thehr gya aur aik kursi ghaseet ker beth gya..
"me ne aj tak koi pari nahi dekhi"Sahil Umar ne hans ker jawab diya.. "phir yaqeen kyunkr ayega"?
"kia ap nay koi jin dekha hai"? bazghar ne sawal kia..
nahi ..me ne koi jin nahi dekha..woh bola...
"kia ap unkay wajood kay qail hain"? Bazghar ne poocha.....
"han bilkul....Jinnath ka zikar Allah ki akhri kitaab me mojood hai"
"goya apko un cheezon per bhi yaqeen hai jo ap nay apni aankhon se nahi dekhin"?
"ji bilkul.....me apnay Khaliq per yaqeen_e_kamil rakhta hun..haalan kay me ne ussay nahi dekha"..
"Allah ki baat ker rahay hain"? Baazghar nay wazaahat chahi...
"ji han..me usi Azeem hasti ki baat ker raha hun jo azal se hai aur abad tak rahay gi"...
"Ap kia samajhtay hain......meray aur apkay Allah ne kia sirf yahi aik dunya banaai hai"?Baazghar ne sawal uthaya.
"nahi .....hamari dunya k ilawa bhi boht kuch hai is is kaynath me.....chand, sooraj, sayyaray yeh aik hamara nizzam_e_shamsi hai...jaanay aisay kitnay nizaam_e_shamsi hon gay...hamaray saainsdaan tehqeeq me lagay hain.. Marreekh per unhon nay zindagi kay assaar bhi talash ker liye hain"... Sahil Umar nay baat agay barhaai...
"Apka kia khyal hai? ... hamain aur apko takhleeq kernay waalay nay yeh chand,yeh sooraj,yeh sittaaray , yeh sayyaray bas yoonhi bna ker chor diye ...be maqsad...........me samjhta hun kay jab Allah koi cheez bnata hai to sath hi is cheez ko dekhnay walay bhi bnata hai.yeh haseen dunya usnay takhleeq ki to sath hi isko dekhnay walay bhi banay..chahay yeh inssaan ki surath me hon ya Jinnatjh ki surath me,ya kisi aur makhlooq ki surath me...............arz kernay ka matlab yeh hai kay Allah apna izhar chahta hai..yeh dunya hoti aur isko dekhnay waalay na hotay to phir dunya me bikhray huay husn ko kon dekhta....jab koi dekhnay wala na hota to Takhleeq walay ko kon jaanta,me asal me kehna yeh chahta hun kay Allah nay is dunya kay ilawa jo kuch peda kia hai wahan in kay dekhnay waalay bhi peda kiye hon gay..............mumkin hai kay kiisssi sayyaray per sheeshay kay insaan bastay hon ,ho sakta hai kissi aur sayyaray per steel kay insaan peda kiye gay hon....mumkin hai sooraj per bhi koi makhlook abad ho,ap door kyun jaain apni dunya hi ko le lain,mumkin hai is dunya me insaan aur Jinnat kay ilawa bhi jaanay kitni makhlooq abad ho,insaan ki nazar mehdood hai , mumkin hai wo doosri makhlooq ko dekh na pata ho.....mumkin hai paryon ka bhi wajood ho,hamain sochna chahye ,tafakkur kerna chahye,jab aadmi sochta hai tafakkur krta hai,.....to chhezain wajood me anay laghti hain.....ejaadath honay laghti hain....hum jo kuch ejaad kertay hain uska wajood pehlay se hota hai....woh "mojood"tafakkur kay zarye hamaray khyal ki grift me a jata hai is kainath me jitni bhi makhlooq hai iskay dimagh khayalth ki lehron kay zarye juray huay hain.......per insaan ne jo computer ejaad kia hai ,aur in computers ko dunya me phelay huay computers se internet kay zarye jora hua hai........to yeh khyal kahan se aya?yeh sochnay ki baat hai.istarah comp ko aik aam admi nahi chlal sakta ,wesay hi kainath me pheli doosri makhlooq say her shakhs raabta nahi ker sakta ................yeh raabta aik tarbiath yaafta zehn hi ker sakta hai ,yeh dimagh kissi khas insaaan ka hi ho sakta hai...aisa insaan jissay Allah ka Qurb haasil ho............"yeh keh ker Bazghar khamosh ho gya...................

































LinkBack URL
About LinkBacks















