helloajj say app kay lia may ik new silsila shoro ker raha ho omeed hay app sab log is may shareek zaror honagy to silsila kuch un hay kay may ik hadees rozana ya ha per updaye jkaro ga.
1 Hadees
Sab say fazeelat wala amaal lailaha ilallaha hay or sab say bahtareen dua istagfar hay.
jasa kay app nay perha kay is hadees may P.B.U.H nay behtareen amal or dua ki baat ki hay.is hadees kay do hisay hain phalay hisay may Allah ki toheed kay aqrar ke sabsay fazeelat wala amal kaha gia hay.jabkay dosray hisay may astag far yani Allah kay hazoor apni tamam galtion ki mafi talab kernay ko sab say fazeelat wali dua qarar dia gia hay.Phala hisa:-hadees kay phlay hisay may amal ki bat ki gai hay or wo kon sa amal hay os kay kia maini hain os may hum ko kia dars dia jata hay ya sab sawal app kay zahan may arahay hongay.to lailaha ilallaha ka matlub hay yani Allah kay siwa kisi or ko khoda na mana jay apnay amal say is ka azhar ya bata ta hay kay app Allah say kitni mohatbat kertay hain.wo Allah ki hi zaat hay jis nay hum ko pada kia humain aqqal di ya dunaya di yani sab kuch Allah nay hi dia hay to humain chahiya kay apnay qool say isi zaat ko Allah or ik manain isi ki abbadat karin or is say sab say ziada mohabat karainDosra Hisa:-hadees kay dosray hisay may bahtareen dua ka ziker kia gia hay yani istagfar jis kay mani Allah say mafi kay hain apnay gunao kai mafi.insan jab is dunya ki borayo may kho jata hay or jab koi bara guna ker bathta hay to os ko Allah yaad ata hay .osay chahiya kay wo Allah say mafi nag lay.kun kay akhri nijaat is waqat tak momken hay jab tak Allah hamari galtio ko maff na ker day.abb ager koi Allah ki nigha may Pasandeda bana chah ta hay to osay chahiya kay chaltay phir tay uthtay bathtay istagfar per ta rahaytokia app nay ajj say ahad ker lia hay kay is hadees per amal karain gay.ager nahi kai to ker lain shaid is hi waja say app jaanat may dakhil hojay.Allah nay farmaya hay kay tum kisi bhi cheez ka irada karo agay osay pora kerna maray bass may hay.

































LinkBack URL
About LinkBacks












