yaar Eid ki Namaz mein total kitni Takberein hoti hain
7 ya 13
is Largest Urdu Forum on net, Read & Share Poetry and a Lot more Register Now!
Already a member? Click to sign in!
This is a discussion on Eid ki Namaz within the Al-Quran & Hadith - The Islam part of the Islam Forum category of Urdu Poetry / Shayari | Islamic Art | Al-Quran & Hadith | Book Download | Gup Shup & more, yaar Eid ki Namaz mein total kitni Takberein hoti hain 7 ya 13... tags: allah, baat, eid, hai, hay
|
|
yaar Eid ki Namaz mein total kitni Takberein hoti hain
7 ya 13
sedhi or Asaan se baat hay kay 6 takbireen zayada hote heen
Tum nay namaz parhi the keya :-?
me ko bhi yahi pata tha , magar kal kya hua ke jab pehli takbeer jo ke namaz start karney ki hoti hai , uss ke baad 6 zaayed mein se pehli 3 Takbeerein aati hain aur haath baandhey jaatey hain , jab main ne haath baandhey to Imam biphar gaya , uss ne 7 Takbeeroo'n ke baad ja ke Srah fateha shuroo ki , main heraan pareshaan kahrey ka khara reh gaya ke yeh konsi Namaz parhney aa gaya main , khair Rukoo mein bhi chaley gey sajdey mein bhi chaley gey , aur jab wapis Qayaam mein aaye to Imam ne dobara Surah Fateha shuroo ki , magar Pehli Aayet ke baad pata anhi uss ke ji mein kya aaui ke uss ne dobara se 3 dafa Allah-o-Akbar keh dala , main behosh hotey hotey bacha , taqreeban 6000 bandey ne Namaz parhi thi uss waqt , kisi ko khayal nahi aaya , koi Sajda Sahev nahi karwaya gaya ............ Salam ke baad mein cheekhta reh gaya ke Namza sahi nahi parhaayi gayi , magar me ki kisi ne nahi suni aur sab kehney lagey , tumhein kya pata , wo Imam haiOriginally Posted by ikirfan
me ko pehli 7 ke baad hi pata chal gaya tha ke NAmaz Kharaab ho gayi hai
dekho khuram bhai gultiaan ho jate heen Imam nay first rakat may agher 7 kar de to yeh baat na sumjh may aanay wali hay par amal ka daromadar niat par bhe hota hay imam ke niat keya the or keya nhe may nhe janta haan tumhare nait Eid ke namaz ke the or Agher app nay Eid ke namaz or os kay sath khutba suna hay to Allah qabool karnay wali zaat hay /yhug
beshak , kise khabar hai ke konsa amal Allah qabool kar le , aur kitney barsoo'n ki Ibaadat ki taraf aankh utha kar bhi na dekhey , magar me ko yeh afsos zaroor hu ke 5000 ke majmey mein se kisi ne note nahi kiya , cuz main ne apney arround jis se baat ki , unn mein se kisi ko nahi pata tha ke main kya keh raha hoo'n , afsos hua ke ham Muslim hain aur hamein Eid ki namaz ke baarey mein bhi nahi pataOriginally Posted by ikirfan
app ke post ko yahaan move keya hay kiyon kay Topic Kafi Aham hay or is par kafi baat ho sakti hay
app nay ek baat sahe ke hay kay wahaan 5,000 Admi thay or kise nay kuch kaha nhe Mujhay aaj bhe yaad hay Abu deen ke dawat ko Russia gay thay wahaan say wapise may unhoon nay bataya kay unhoon nay masjid may dekha kay ek sahib three pice soot may aay jaib say naqli darhi nikal kar laghai or namaz parhi ??????????
bohut say logh to bahir aysay bhee heen jin ko yeh he nhe maloom hota kay islami month kon sa chal raha hay ???? namaz kay timing keya heen or bohut say faraiz aysay heen jo kay zaroree heen par on ko wo nhe maloom wo Anjan heen in sare batoon say
may yahaan Islam section may aanay walay apnay tamamm sathioon say yeh baat kahoon ga kay sochnay ke baat hay kay ab kise nabi nay ana nhe hay to wo logh jo deen say door heen ya jin tak deen ke dawat nhe pohnchi ya jin ko deen kay baray may maloomat nhe hay wo keya kareen ???? kis ka kaam hay yeh ???
kise or ka nhe humara he kaam hay kay hum Apnay Apnay halqoon may dawat ka kaam jare rakheen khud bhee sikheen or dosroon ko bhe sikhaeen kay is say accha kaam koee nhe Allah ko sub say pasand dawat ka kaam hay kay 124,000 Anbia kiram isee kaam ko Allah kay hukam say karnay aay thay or yeh on sub ke sunnat hay
Khuda ra deen ke dawat ka kaam kareen
bilkul yeh hamara kaam hai , magar uss waqt jis waqt main yeh keh raah tha logoo'n se , sab hans rahey they aur me ki age dekh kar unn ko yaween tha ke main ghalat keh raha hoo'n aur me ko kuch nahi maloom , khair is baat ka mujhey koi afsos nahi aisa to aksar hota hai , magar main umeed kar raha tha ke shayed koi banda yeh point out karta ya imam saab ko hi ghalati ke ehsaas hota , magar wahan to sab aise they jaise kuch hua nahi
abroad main ab aisa bhi nahi ke logoo'n ko Islam ki maloomaat na ho'n , main ne yahan bohat parhey likhey aur Alim FAzil Ulama -e-karaam dekhey hain , hamari University mein bohat se aise students hain jin ki Islam ki knowledge dekh kar rashk aata hai , aur baaz aise bhi hain ke jin se kisi ne sawal kiya ke Eid kya hai to jawab de diya , pata nahi bus Eid , Eid hai ..................
Khuda se yahi dua aur Iltijaa hai ek wo ham sab ko Deen ko sahi se samajhney ki taufeeq ata farmaayein
koshish yeh ho kay jin ko knowledge hay on kay sath waqat guzara karoo or sahe baat koe bhe kar raha hoon chahay wo hum say chuta he kiyon na ho os ko sunnna chahay bus jo nhee sunntay on ko phir Allah sunata hay
sahi bat jaahn se miley , pakar lena chahye , magar ham log issey apni ana ka masla bana letey hain baas aoqaaat
| « 786" - Does it stand for 'Bismillah Hirahmaan niraaheem' ? | NAWAFIL OF SHABB-e- QADDAR » |
| Tags for this Thread |