Shaytaan mein ishq ki kamee
Irshaad farmaya shaytaan ko ishq haasil na tha
Wagarna Aalim, Aabid, Arif tha
Lekin Aashiq na tha
Isi liye mehroom ho gaya
Agar aashiq hota to chun charan ke beghair sajdah kar leta
Marzee jisay her waqt teri pesh nazar hai
Bus uski zubahn par na agar hai na magar hai.
Aur hamesha yaad rakho ke ghulam ki koi qeemat nahin
Jab tak ke Maalik uski qeemat naa laga de, hamaari koi qeemat nahin
Jab tak ke qayaamat ke din Allah Taala nah farma de ke
Humne tumehain pasand kar liya
isliye rozaana yeh shair parliya karain
Jo taqabbur ka behtereen elaaj hai
Hum aesay rahay ya ke vesay rahay
Wahan dekhna hai ke kaise rahay
By Arif Billah Hazrat Maulana Shah Hakeem Muhammad Akhtar Sahab Damat
barakatuhum ...
from Safarnama Rangoon and Dacca

































LinkBack URL
About LinkBacks











