Ghulami bar e sagheer ki shaid qismat hai . . .hazaron sall pehlay Arya logon ne hamalaya kay daroon se aa kar yahan kay rahnay walon ko ghuam banaya . .. phir yahan se aik azeem tahzeeb ne janam liya, jisay tareekh daan Darya ay Sindh ki tahzeeb bhi kahtay hain , phir yeh tahzeeb pheli aur ganga jamna sarswati daryaon ne issay parwaan charha diya , aur Darya-e-Bayaas kay kinaray aik baray mazhab ne janam lia jissay ham Budh Matt kay naam se jantay hain , Hindu Matt mazhab nahi tha balkay aik nizaam tha, jisay fateh loogon ne wazah kya tha . . . Ashok e aazam kay zamanay main yahan ki tahzeeb nay taraqi ki aur Yonaan aur Room ki tahzeeb ki amaizash se aik azeem tahzeeb ne janam liya , jiss kay asaar Texla aur Calcata o Banaras kay qadeem asaar batatay hain .
Budh Matt ka arooj Ashok kay doar se shoro hao aur mashreq e baeed tak phaila ..... magar Ashok kay baad Hindustaan rayastoon main taqseem hota chala gaya, aur Mosalamanoo ki aamad tak bar e sagheer bohat sari rayastoon main taqseem tha .. . .
Bar e sagheer main qadeem tareen insani asaar pathohaar ki wadi main daryaay "SawaN" kay kinaray milay hain , jiss se pata chalta hai kay pathar kay ozaar istemal karnay wala insaan bhi isi dharti par mojood tha , Daryaya SawaN aaj bhi Rawalpindi shahr main bahta hai magar ab woh sirf aik nala rah gaya hai ...
Jiss mosadqa tareekh ka hamheen soraagh milta hai woh taqreeban 7000 qabl e maseeh ki tareekh hai, poreeni vaidon kay motabiq Vidya yahan kay bashinday thay aur Arya ne aa kar un par qabza kiya , kuch mohaq'qeen ka khan hai kay ARYA aur VIDYA koee qoom nahi balkay Zubaneen theen , magar kuch bhi ho yeh haqeeqat hai , kay Darya e Sindh kay kinaray aik azeem tahzeeb nay janm liya , jiss kay asaar hameen 5000 sall poranay "Moin Jo DaRo" main nazar aatay hain ,Moen Jo daRo ki sab se ajeeb baat yeh hai kay yahan 100 se kam logon kay dhanchay milay hain (jo meray khayal main uss shahr kay basyon kay nahi hain) aur shahr bilkul aisa mila hai kay jaisay koee basay basaay shehr ko choor kar chala gaya ho, naa ko qabristaan mila hai na koee shamshaan ghaaT , agar woh loog murdooN ko jallatay too koee jalany ki jagha milti aur agar dafnatay to qabristan milta , magar aisa kuch nahi mila, mera apna khyal hai kay woh Adam khor thay , murdoon ko kha jatay hoo gay waisay yeh bhi to hoo sakta hai kay woh murdoon ko darya main baha detay hoN ?
Ham agar zara aagay baRhtay hain too hameen Harrapa nazar aata hai Punjaab main taqreeban 4000 sall porani iss tahzeeb se pata chalta hai kay woh loog kitnay aloom o fanoon se waqif thay , go iss waqt tak Harrapa aur Moin jo daRo ki tahreereen nahi parhi jaa sakeen magar , kuch mohaqqeen kay khayal main yeh Devnagari rasm ul khat ki bunyaad hain , kuch kay motabiq yeh qadeem misri(egyption) ya yonani(greec) zaboon se akhz hai . .. magar khair hamara subject iss waqt lasanyaat nahi hai is ki detail phir kabhi.
daryaay sindh ki tahzeeb, ko ham 3000-1500 BC tak gardantay hain , in 1500 saloon main daryay sindh ki tahzeeb ne arooj paya aur jiss kiya bunyaad par 1500 BC main Aryans ne iss khitay par par Qabza kiya aur iss tahzeeb ko Jamna aur Sarswati ki wadyon main phila diya.
Yeh bari ajeeb baat hai , kay woh khita jisay ham ajj Pakistan kay naam se jantay hain , kabhi bhi kisi aik Hukamran kay pass nahi raha (Siwaay Ashoke-e-Azam kay) aur hamesha hi Afghanistan o Iran se milanay walay darray iss khitay ka nishana rahay ... Jin ka pata hameen AryaooN YonaniyooN aur Iranyon kay qadeem hamloon se milta hai .
Woh Dara e Khyber ho ya Bolaan, yaa phir Qaraqarm ki shahrah .. . in rastoon ne hamesha bar e sagheer ko sari dunya se milaay rakha, aur hamla awaroon ko bhi saholat rahi kay , darray unheen camoflaaj kartay rahay .. . sirf mosalmaan iss khitay par somandar kay rastay aay (Moahmood Ghaznvi aur Mohammad Bin Qasim) ne Deebal (mojoda Karachi) kay rastay se iss khitay par qadm rakha . . .
too yeh thi kuch kahani , daryaya sindh ki tahzeeb ki , jo 3000-1500 BC tak thi, inshallah agli qist main hamm iss kay baad kay advaar ka jaiza leen gay . .
chaltay chaltay aik hadees yaad aa gaee, jo issi Sindh kay tawast se hai , jab Nabi Kareen (sws) yaman main tajarat ki gharz se tashreef lay gay too unhoon ne apnay ghulaam maysra se sindh kay tajron ki tarf ishara kar kay kaha, yeh Sindh kay tajir hain, subhanAllah, aur phir yeh hi Sindh bab ul Islam bana . .. .
AryooN ne 1000 BC main khod ko Sindh se paar phailana shoro kiya aur woh Ganga ki wadi main pohnchay , aur phir Ganga Jamna aur Sarsawati daryaoon kay malaap se Hindu tahzeeb ne janam liya jiss ka arooj hameen "Maha Bharat" main nazar aata hai . . Maha Bharat aik taweel laraee thi, yeh laRaee PanduooN kay darmayan rasa kashi se shoro hoee, aur Panduon ka bhahi Dhrisrashtra (jo andha paida hoa tha) uss kay betay KourooN kay darmana chali, Dhristashtra ki bv thi Ghandharvi(Texla ki Ghandhara tehzeeb isi aurat ki kokh se hai ) jiss nay 100 Kourvaoon ko janam diya (Hinduoon ki maqadas kitab Maha Bharat main iss ka taveel bayan hai ) jabkay Pando kay sirf panch betay thay jin main se Kunti se teen aur Madri se do thay, Yudhishthria sab se bara PanDo tha jissay Dharampatra bhi kaha jata hai Bhima aik bohat taqatwar insaan tha jab kay Arjun aik bohat khobsorat jawan aur hoshyaar insaan tha. Dharampatra awaam main mashhoor tha jiss ki wajah se Korvoon ka sab se bara beta Dhoryadhana PanDoooN se hasad karnay laga tha aur yeh hi hasad laRaee ki bunyaad bana... mahabharat kay kuch kirdar bohat dilchasp bhi hain aur anokhay bhi asal main yeh kahani barsoo se likhi jaa rahi hai iss liya kaheen kahin iss kay mosanfeen bilkul alag rasta apna letay hain jiss se parhnay wala bohat dair tak uljhta hai khair . . . main maha bharat ko yahan hi chooRta hoon aur aagay baRhta hon, Kroshethar ki laRaee main PadaooN ko shikst hoee aur aur Hindu tahzeeb ka urooj shoro hoa, jisay 544 BC main Mahatama Budh ne badal kay rakh diya aur aik sachaaee ki talash main nikalnay walay Sidharth ne aik naay mazhab ki bunyaad rakhi jissay ajj ham Budhmatt kay naam se jantay hain.
Budh ki kahani kisi had tak Raam se milti hai kay woh bhi aik shahzaday thay aur apna sab kuch chooR chaaR kay sachaaee ki talassh main niklay , 6 bars ki masalsal talash ne unhee "Narvaan" diya aur aik darkht kay talay (Budhi darkah jisay ab Buddh-Gaya kahtay hain ) apni zindgi kay baqi 45 sall gozaray aur isi darkht kay nechay dunya se gozar gay, Buddah bayshak Nipal ki aik rayasat kay shahzaday thay aur Budh matt ne mojoda Nipal se janm liya magar Budh tahreek ka urooj Texla main hoaa (maha bharat main iss ka naam tekshala aaya hai ) aur woh tahzeeb aaj ham Ghandhara kay naam se jantay hain . . .
aur phir 325BC main Sikand e aazam, apni fatohaat ko baRhata hoa, mojoda Jahlam aur Multaan tak lay aaya aur yeh hi wajah hai kay Ghandhara ki tahzeeb hameen qadeem Sami Roomi aur Yonani tahzeeboN se mail khati nazar aati hai . . .
Sikandar (Alexender ) yonani fateh, Janob Mashraqi yorap se hota hoa Iran ko fatah karta hoa Koh e Hindukash kay rastay se Hindustan main dakhil hoa, Jahan uss ki bari jang Punjab kay raja Pouras se hoee , tareekh daan kahtay hain kay Pouras aur Sikandar kay darmayan koee mohda ho gaya tha, lekin yeh bhi haqeeqat hai , kay Sikandar ki afwaaj masalsal laraee se thak chuki thin aur phir Jahlam kay baad Sikandar ne apnay watan ki rah li . . .
Aur phir ChandarGupt Moria ka doar aaya uss ne Hindustaan ki pehli baqaida hakoomat ki bunyaad rakhi aur yeh zamana tha 320 BC ka . . . Chandargapt moria kay baray main detail inshallah agli qist main . ..
Yahan main apni baat ka ikhtataam karta hon , ham dekhtay hain kay in 1000 saloon main hindustan ne kitnay hi bunyadi tabdeelyon ko janam diya , Hindu matt ka orooj aur phir Budh matt kar orooj aur Mahabharat ki jang, aur phir Sikand e Aazam ki aamad ne iss khitay ko aik naya rang de diya . . . jiss ka asar naa sirf zuban o saqafat par para balkay aik baqaida hakomat qaim honay ki wajah se , khushhali ka aik doar aaya , jissay ajj bhi dunya Ashok e Aazam ka doar kahti hai .. . . . .
Chandargapt Moria iss khitay ka aik aisa hukamraan tha jo apni zahanat aur chalaki se hakomat chalata raha uss ne yeh hakomat Selacus Nicator ko jang main shikst de kar li thi, aur ussi ne Moria salatanat ki bunyaad rakhi aur kisi had tak Mothida Hindustan ka pehla hukamraan bana, Chandargapt Moria ne , hakomati islah ki aur hakomat chalanay kay tareeqay wazah kiyay, ussi ne iss khitay ka pehla sikka raij kiya, uss kay doar main jahan loog khoshhall hoay magar uss ki islaahaat ne bohat loogon ko dukh bhi diyya . . .
Chandargapt Moria ne apni saltanat ko mazboot karnay kay 5 sall baad , hakomat apnay betay Bindusra kay hawalay ki aur khod tarkauldunya ho gaya . . . Bindusra ne moria salatana ko naa sirf waseeh kiya balkay Afghanistaan se lay kar Assaam tak apna sikka raij kar diya . . . Bindusra woh hi badshah hai jiss kay baray main vaidoon main zikar aaya hai , kay uss ki maan ne uss ki padaish se pehlay zahr kha liya tha aur phir uss ko bakri kay pait main pala gaya aur jab ussay janm diya gaya to woh danaydar tha, is liya ussay nuqtay wala bhi kaha jatay hai (Spoted man) ..
Bindusara kay baad uss ka beta Ashok takht nasheen hoa, woh aik bohadar sipahi tha, aur uss ne apnay baap ki badshahi kay zamanay main kafi fatoohaat ki thin, uss ne apni zindgi ki bari jang Kalinga main lari jiss main lakhon insaani janeen zaya hoeen, unhi halaktoon ko dekh kar Ashok ka zahan amman ki tarf gaya aur uss ne Budhmatt ki amman wali zindgi ko apna liya aur Budh matt qabool kar liya . . . usi kay doar main janwaroon ko marna gonah qarar diya gaya aur ghoosht khana tark kar diya gaya aur sabzikhori ka rawaaj diya gaya . .
Asho e aazam aik bohat hi naik dill badshah tha, Texla kay khandraat uss ki azmat kay gaway hain, aun issi Ashok e aazam ki LaaT ajj Hindustan ka qoomi nishaan hai aur , Hindustani parcham kay darmayan main Ashok Chakkar (dharm chakar) , ajj bhi uss ki azmat ka gawah hai . . . Ashok hi kay zamanay main Budh matt sari dunya main phaila , uss ne 232 BC main iss dunya se mooh mora . . . uss waqt tak moria saltanat . . . aik mazboot salatan rahi aur aglay 200 sall tak aik sukh o chain ka doar raha . ..
aur phir hindustaan aik bar phir sazshoon ki lapait main aya aur Sungas khandaan ne Moria khandaan ka orooj khatam kiya magar khod bhi woh ziada arsay tak naa tikay aur Kushan ne Hindustaan ki bhaagh door sanbhal li . . .
Kushaan kay baad Gupta ne jo Chandargapt mori II kay naam se bhi jana jata hai , hindustaan ko ilm o fazal ki bulandyon par pohnchaa diya . . .
Jab arab main islaam ki kirneen phoot rahin thin too Gupta khandaan ka zawaal shoro ho chuka tha . . aur phir 711 eesawee main Mohammad Bin Qasim ne Sindh ko fatah kiya . . .aur yoon baqool Qaid e aazam mohammad ali jinnah kay motabiq, Pakistan ki tahreek ka aaghaz hoa . .
Sindh kay Raja Dahir kay baray main motzaad khayalaat hain, magar itni baat confirm hai kay Sindh kay janglaat main DakoooN ka raaj tha aur woh bahri qazaaq bhi thay , mosalmaon ka paisha ziada tar tajarat tha, aur Omvi Khalifa ne aik lutnay walay mosalaman tajarti qaflay ki aik larki kay pursooz khat par Baghdaad kay 19 sala nojwaan Mohammad Bin Qasim ko sindh ki mohim suppard ki, lekin hamlay kay hukam se pehlay Rajput RAja Dahir ko khalifa ne kaha kay woh un dakooon ki sarkobi karay aur mosalmano ka lota hoa maal wapis dilaay , magar RAja Dahir ne uss kay peghamoon par tawajoo naa di aur, Mohammad Bin Qasim 711AD main Deebal kay rastay Raja Dahir ko shikst dee aur Kashmir tak kay elaqay ko fateh kar liya, Mohammad Bin Qasim aagay baRhnay ka irada rakhta tha magar Khalifa Waleed ne ussay wapis bulwa liya , aur alam e islaam ka yeh gernail baghdad wapis rawana hoa, magar kuch rawayaat kay motabiq woh Baghdad pohanchnay se pehlay hi molk rahi e adam hoa . .. .
Omvi salatanat ki bunyadeen khokli ho chuki thin, jiss ki wajah se mosalmaan Sindh par apna tasalut dair tak barqarar naa rakh sakay, aur yon saray hindustan main Chalkiya ki saltanat ne orooj liya jiss ne taqreeban 35 sall tak hakomat ki , magar yeh bhi haqeeqat hai kay woh mojoda Pakistan kay elaqoon par apni hakoomat nahi chala saka . . . hatta kay Omvi aur Abasi khulfa ne iss ko apnay zair nageen bhi rakha(sindh ko) jiss ki wajah se in elaqoon main mosalamano ki aamd o raft barhi aur , jiss ne yahan kay loogon par bohat acha asar dala isi wajah se jab Mahmood Ghaznavi ne 1001AD main Raja Jaypaal ko shikst dee aur Somnaat ka madir toRa too, awami toor par ussay bohat peziraaee mili , aur Raja ki tarf se Mahmood Ghaznavi ko bohat mazahmat mili, jiss ki wajah se ussay Hindustan par 17 hamlay karnay paray. Mahmood Ghaznavi ne mosalmano kay liya Hindustan ki zameen wah kar di thi, woh darwaza jisay Mohammad Bin Qasim ne khola tha, uss ka makaan 1001 main Mahmood Ghaznavi ne tameer kiya aur .. . aur uss takbeer kay naaray ki baaz gasht aaj bhi hamaray kano main sonaee deti hai . . .. .
Mahmood Ghaznavi ne jab Raja Prithvi Raaj ko shikst di aur jab woh Somaat kay mandir kay butt tornay jaa raha tha to ussay , har tarah ka lalach diya kay woh Mandir kay butt naa toRay magar uss ne kaha kay main Butt Shikan hooN, aur phir woh Mahmood Ghaznavi tareekh kay oraaq main Butt Shikan kay naam se hamesha zinda rahay ga. . ..
Mosalamanoo ka asal arooj hindustaan main yaheen se hoaa, aur Hindustan kay rahnay waloN ne mosalmaan hukamraanooN kay bahtar achay salook ki wajah se aur buzargan-e-deen ki kawashooN se ,jooq dar jooq Islaam qaboll karna shoro kar diya . . . kyon kay aik too woh pehlay hi rajay mahrajooN kay zulm se tang thay aur dosray oonchi aur neechi zaat kay hindooN kay darmayan bohat farq aa chuka tha . . . jis ne mosalmanooN kay liya rah hamwar ki . .
MosalmaaN arbooN ne na sirf Hindustaan kay loogon kay dilloN par asar kiya balkay yahan ki tahzeeb o saqafat par bhi asar andaaz hooay .. . . aur phir Hindustan ki tahzeeb jo pehlay se hi Iraan Room aur Yonaan ki tahzeeboon ki amaizish se gageen thi Arab mosalmanooN nay uss ko mazeed haseen bana diya . .
Mahmood Ghaznavi ka hi husn-e-salook tha jiss ki wajah se Khandan-e-GhulaamaaN ne 12 veeN sadi main iqtadaar sanbhala , aur Qutab Uddin Aibak aur Altutmush jaisay badshahoon ne saltanat ki bhaagh dooR samnbhli. Qutub Minaar ajj bhi uss doar ki azmat ki yaad dilata hai , Qutab minaar kay baray main aik rawayat hai kay agar koee shakhs uss kay ahni khol ko apnay bazoo main pori tarah samait le too uss ki har khahish pori ho jay gi .. too app main se joo bhi Qutab Minar jay to yeh kaam zaror karay
Khandan e Ghulaman kay badshah bohat mutaqi aur parhaizgaar thay, aur khas kar Altutmash ulma e karaam ko bohat izzat deta tha .. . Altutmash ki hi samjhdari thi , kay shamal ki janib se uthanay walay fitnay changeez khan ki tatari afwaaj ne hindustan ko utna nuqsaan nahi pohnchaya jitna baghdad ki saltanat ko . . .
Morco polo ne isi zamanay main hindustan ka safar kiya aur uss ki azmat kay qisay bayan kiyay hain .. .
Khandn e ghualaaman kay baad Khilji khandaan barsar e iqtadaar aaya aur taqreeban aik so sall tak hindustan tughlaq khandaan kay zair e asar raha .. .
aur phir aik baar phir , Timur Lang ne hindustan ko roond dala, Timor aik jarah fateh tha, tareekh main ussay achay lafzon se yaad nahi kia jata, shaid iss liya kay woh bhi aik tatari mangol tha aur uss ne bhi zulm kay saat logon ko qatal kiya.....
Taimoor kay janay kay baad androni khalfishar barh gaya aur hindustan choti choti rayastoon main taqseem ho gaya jis wajah se aik tarf Bhahmi rayasat bani to dosri taraf Lodhi khandaan ki hakomat . .. . aur 15 veen sadi main jab Vasco DeGama ne hindustan ka safar kiya too uss kay kuch hi arsay kay baad PurtagalyoooN ne Goa ko fateh kar liya aur . . . yahan se hi bar e sagheer main mosalmanoon kay elawa dosri qoomoon ka tasalut shoro hooa . . .aur Kutab Shahi kay baad Pani pat kay maidaaan main aik Turk Chughtaee Zahir Uddin Babar ne Kabul fateh karnay kay baad azeem moghal saltanat ki bunyaad rakhi . . .jo aanay walay waqtoon main hindustan ko sonay ki chirya ka naam de gaee . .. .
Babar ne aik mazboot saltant ki bunyaad rakhi, uss ki saltanat Kabul se Kandhaar tak aur hamaliya se gowalyaar tak phel gaee thi . . . Babar ka beta HamayooN tha, kaha jata hai jab woh bemaar paRha too too uss ne doa mangi kay Hamayon ki bemari ussay yani babar ko lag jay, aur aisa hi hoaa, aur Babar dunya se rukhsat hoaa, aur HamayooN takht nasheen hoa . . . magar ussay kuch hi arsay kay baad saltanat se haath dhonay paRay, aik afghaan Sher Shah Sori ne Kabul ta Dhili apnai hakomat qaim ki aur aik yaadgaar tareekh raqm ki , jis ki gawah ajj bhi mojood GT Road hai , jissay Jornaili sark bhi kaha jata hai , yeh shair shah sori ka aisa karnama hai jisay hamesha yaad rakha jay ga . . . .iss kay elawa uss ne kafi istalahaat ki , jiss main daak ka nizaam aur mawaslaat ka nizaam bhi bahtar kiya . .
taqreeban 15 sall baad Hamayon ne Iran kay rastay , hamla kar kay apni saltanat wapis li
issi doraan Hindustan main aik naya mazhab ubhra, jissay Grunanak ne phailaya, loog issay Sikh mazhaba kay naam se jantay hain, sikh mazhab ki wajah woh hi thi jo Budh matt ki thi, Hindu to doghli qoom thi hi, magar mosalmanooN main bhi aisay logon ka ghalba ho chuka tha, hatta kay buzargan e deen ki wajah se bohat acha moashra tha magar phir bhi , Gru Nanak ne Islam aur Hindu mat se mayoos ho kar yeh mazhab banaya , sikh Toheed kay qail hain, aur aamaal ka taswar bhi waisa hi hai , magar shirk kartay hain . . . Gru Nanak sahib ko khoda ka hissa maan kay . . .magar sikh mazhab phir bhi Islam se ziada qareeb hai , hatta kay jab mojoda Golden Temple (amratsir) ka sang-e-bunyaad rakha jaa raha tha too uss kay liya sikhon ne aik wali Allah , Hazarat Miyaan Meer ko hi chuna . . .
Hamayon ka door hakomat Hindustan ko ikhta karnay main laga aur uss ki wafaat kay baad uss ka beta Akbar takht nasheen hoa Akbar-e-Aazam ka bhi ziada waqt jangoon main gozra aur sazshoon se niptta raha , magar Akbar kay doar main Hindoon ko bohat asaniyan mili us ki wajah uss ki Hindu BV Jodha Bhai thi,aur issi malaap ne ussay Deen Ahmadi bananay par mail kiya aur ... .
Akbar kay ahad main hi angrezoon ne iss sarzameen par tajarti company bana kay qadam rakha iss company ko 1600AD main East India Company kay nam se qaim kiya gaya . .. aur issi kay thoray arsay kay baad Holland main United East India Company bhi banaee gi aur phir Hindustan ki sonay ki chirya ko phansnay kay liya jaal tayyar honay lagay . . .
16 veen sadi kay aghaaz main Akbar ka intaqaal hoa aur Jahangeer takht nasheen hoa, Jahangir ka zamana bohat acha gardana jata hai , ussay adil badshah bhi kaha gaya , magar uss ki zaat kabhi bhi shak se khali naa rahi , yahan tak kay Noor jahan kay pehlay shohar Shair Afgan kay baray main bhi kaha jata hai kay ussay jahangir ne qatal karwaya . .. khair aik baat samjh main nahi aati , kay Noor Jahan ne Anarkali ki kahani nahi soni thi shaid . .warna woh Jahangir se kyon shadi karti
Jahangir kay dor e hakomat main angrezoon aur douch ne apni factoriyaan lagaeen aur apni sazshon ka ghaira ahista ahista tang karnay lagay . . . . jiss ki misall Sir Thomas Roe ki bahaseeyat safeer taqrari thi Hindustan main . . .
Jahangir kay baad Shah Jahan takht nasheen hoa , Shah Jahan ne hi Taj Mahal tameer karwaya , jo uss ki mahbob bv Mumtaz Mahal ki yaad main tameer hoa , ussay tamerat ka janoon tha, Lahore aur Delhi ki Masajid, Qilay aur Thatta(Sindh) ki shah jahani masjid ussi ki yaadgaar hain .. . .
Shah Jahan kay doar main Shah Jahan ne hi angrezoon ko aisi sohalyat deen jiss se unhee apnay qadam jamanay main asaaniyaan hoeen, jiss ki aik misall Madraas main Snt. Jorj ka qila tha . . .
Shah Jahan kay baad Aurangzeb barsare iqtadar aaya , uss ne Shah Jahan ko Qilay main qaid kar diya aur Shah Jahan ne apni zindgi kay akhri din , Taj Mahal ko dekhtay hoay gozaray . .
Aurangzeb kay doar main moghal saltanat intashaar ka shikar hona shoro hoee aur angrezoon se pehli jang main Bejapur hatoon se nikal gaya , magar 1690 main angrezoon aur moghlon kay darmayan aik amman mohida hoa . . . aur angrzoon ne qadam jamay ka waqt lay liya . . .
aur phir Aurangzeb ki wafaat kay baad moghal saltanat sokhay patoon ki tarah bikharti chali gaee . . . aik kay baad aik badshah aya aur sazshoon ka dor shoro hao . . isi darmayan main Angrezoon ne Faransesyon ko shikst di aur Hindustan par apna jhandha lahranay kay khawab dekhnay lagay . . .
1686AD main angrezoon aur maghloon kay darmayan Bijapur ki laraee hoee aur phir un kay darmayan moheda hoa amn ka, aur Aurangzeb k zamanay main hi East India company ko arooj mila , aur hindustan dunya ki aik masroof tajarti mandi ban gaya , Aurangzeb kay doar main hi MarhaToon ne baghawaqt ki aur 50 saal kay baad bangaal pe aik bari laraee lari . . .
17veen sadi kay shoroo main Aurangzeb ki wafat kay baad Nidr Shah ne Delih fatah kiya aur MarhaToon ne Salsett aur Bassein par qabza kiya . . . .
1750 main MarhaToon ne aman mohida kiya aur thoray hi arsay baad Siraj-ud-dola ne Calcata fatah kar liya . . . aur yoon bar-e-sagheer taqseem dar taqseem dar taqseem hota chala gaya . . .
Angrezoon ne Plasi kay maidaan main Sirjuddola ko sikst dee jo ghadaron ki wajah se yeh jang haar gaya . . . aur isi kay saath Angrezon ne Wadiwash main angrezoon ne frasisyon ko shikst dee Panipat ki tesri laraee main Ahmed Shah Abdali ne MarhaToon ko shikst dee aur yoon Hyderabad Dakan aur maysoor ki rayasteen mosalamanoon ki amajghah bani aur Hyder Ali jaisay sultaan samnay aay magar angrezoon ne apnay qadam jamanay shoro kar diyay thay , Buksar ki laraee main Mir Kasim ko shikst hoee aur angrezoon ne Bengaal Bihaar aur Orissa par apna raaj qaim kar diya . . .
Jab Mysoor ki pehli laraee main agrez moqabal naa kar saky too unhoon ne Hyder Ali kay saath aman ka mohida kiya . . . jo darasal aik chalaki thi . . . aur angrez mosalmaon main phoot dalnay kay liya waqt chahtay thay . . .
10 sall baad 1780 main 4 sall ki laraee kay baad Angrez phir ghadaroon ki wajah se Hyder Ali ko haranay main kamyaab rahay aur Pitt's India Act (1784) kay motabiq angrezoon ne tajarat kay saath saath hakomat karnay kay zawabit bhi tay karnay shoro kar diyay
17veen sadi kay ikhtataam par Tipu Sultan aur angrezon kay darmayan pehli martaba jang hoee aur angrezoon ne aik bar phir Tipu jaisay sultan ki qayadat aur bohadari dekhtay hoay pentra badla aur Saranag Patam main aik amn mohida kiya . . .
Tipu Sultan aik bohadar aur jari salar tha, woh Haider Ali ka sab se bara beta tha, Angrezoon ne go Haider Ali ko shikst dee thi magar mohiday kay paband bhi thay iss liya woh Mysoor par hakmiyat naa kar sakay , Haider Ali ki wafat kay baad Tipu Sultan mysoor ka hakim bana aur uss ne Hydrabad Dakkan kay Nizaam aur Marhatoon ki madad se angrezoon kay khilaf jang lari , kaha jata hai kay uss ne Usmania saltanat aur Afghanista aur Niplean Bona Part se bhi madad ki darkhast ki thi , magar un tak yeh khat dair se pohncha
Angrez jantay thay kay woh taqat se Tipu Sultan ko shikst nahi de saktay unhoon ne Hyderabad kay nizam ko sazish kay taht shikst dee aur mohiday ko tortay hoay Mysoor par hamla kar diya aur 1799 main Tipu Sultan ko shikst hoee, woh maidan e jang main shair ki tarah lara aur shahadat paee , uss ne apnay moqolay ko sach kar dikhaya kay "shair ki aik din ki zindgi geedar ki 100 sala zindgi se bahtar hai " Azadi ki jang ka woh pehla sapahi tha jis ki azmat ko angrezoon ne tasleem kiya . . .
moghal salatanat naam ki baqi thi , delhi main jis mai badshah aatay rahay aur jatay rahay , jin main Mohammd Shah rangeelay jaisay loog bhi thi aur Shah Alam jaisay badsha bhi . . . Aurangzeb se Bahudar shah zafar tak taqreeban 17 badshah guzray , moghal saltanat sirf Delhi tak rah gaee aur Punjab main Sikh aur Bangal main marhatoon ka zoor barhta chala gaya aur 1857 main pora hindustan angrezoon kay qabzay main chala gaya . .
magar aik baat zaror zahn main rakhni chahyay kay mosalmaanon ne apni azmat ko aisay nahi khoaya . . unhon ne akhir dam tak jid o jahad ki Syed Ahmed Braliv , Shah wali ulla, Shah ismaiil waghera ne angrezon sikhon aur hindon kay saath jang ki . . .
angrez apnay zar kharid ghulamoon ki madad se delhi ki tarf barhtay chalay gay . . . aur unheen pata chal gaya kay ab loha garm hai , too unhon ne apnay qabzay ko baqaida karnay k liyay chaal chali , Delhi kay sapahyon ko bandoqoon kay liya jo kartoos supply kiyay gay thay un kay oopar chamra charha hota tha jisay sapahi dantoon se khench kar otarta aur bandooq ko bharta tha , bataya gaya kay kartoosoon par jo chamra hai woh sooar(pig) aur gaay(cow) ka hai , mosalmanon kay sooar haraam aur hindoaan kay liya gaay moqadas thi , 1857 main baghawat ho gaee aur angrez isi baghawat ko kuchalnay kay bahanay Delhi main dakhil ho gay . . . aur badsha ko qaid kar liya , tareekh kay oraaq kay motabiq agar Bohdar Shah Zafar , General Bakht khan ki baat maan letay too shaid aaj ki tareekh kuch aur hoti magar woh badsha jab bhagnay ka waqt aaya too iss intazar main tha kay koee khadim ussay joti pehna de too woh kaisay kisi ka saath deta . . .. . 1857 main Delhi ujjar gaee . . .
moghaloon ka jah o jalal khatam hoaa . . . aur taj-e-bartanya ka soraj taloo hoa jissay agalay 100 bars tak hindustan ki dharti ko jalana tha . . .aur hindustanyon ko kutoon kay barabar karna tha . . . .delhi ki tabahi ne saray hindustan ko mayoos kar diya . . . aur khas kar mosalmaan mazeed pasti main chalay gay . .
go mughlia saltanat ka soraj gharoob ho chuka tha , aur sari dunya main mosalman shikst o reekht main thay magar, ummt-e-moslama se khoda kabhi ghafil nahi hoaa, koee na koee tahreek zaror uthti rahi jiss ne uss tashakhus ko zinda rakha . .. jo aik aur nishat-e-sanya ki wajah bana hai . .. jahan angrezoon ne hindustan ko nuqsaan pohnchaya waheen naee jidat bhi dee , 18veen sadi kay wast main Hindustan main Rail gari ka aghaaz hoa, telegraph ki linen bichaeen geen aur naee tameraat ka silsala shoro kiya gaya . . . afsoos uss waqt kay mosalmanoon ne issay kafroon ki cheezeen samjha aur hindon ne ussay apnaya aur angrez kay ziada qareeb ho gay, Hindon ne naee taleemaat ko accept kiya aur mosalmaan sirf mazhbhi taleem tak mahdood ho kar rah gay . . . .
1885 main aik angrezon kay aik group ne Indian Natiotanl Congress qaim ki , jiss ka bunyadi maqsad Hindustanyon ko haqooq dilana tha , aur uss ki bhaagh door Bal Gangadhar Tilak ne sanbhali , aur pehli baar kisi platform se angrezoon kay qabzay kay khilaf awaz bulnd ki gaee . .. congress kay pehlay sadar Chandra Banerjee thay . .
dosri tarf Sir Syed Ahmed khan ne mosalmanoon main taleem ki rooh phonki aur ussi taleem kay asar ki wajah se mosalmanoon ne 1906 main Muslim League qaim ki . . .
1857 ki jang-e-azadi tak aik cheez moshtrik ho chuki thi hindustanyon main aur woh thi zuban, jissay Urdu kaha jata hai , magar jab mosalmanoon ki saltanat khatam hoee too Urdu Hindi tanazah khara ho gaya , Urdu kyon kay arbi rasm ul khat main likh jati thi so yeh mosalamnon ki zuban thehri aur isi ko gormukhi main likha gaya aur ussay Hindi ka naam diya gaya aur ussay hindon ki zuban kaha gyaa . . .
1905 main angrezoon ka aik faisla mosalmano kay haq main gaya aur woh tha Bangal ki taqseem ka , jiss ki wajah se mosalmanon ko bangall main kafi faida hoa . . . December 30 1906 ko Sir Syed ki Mohammdan Education Confirance main jo Dhaka main h oee nawab slim ullah ki tajveez par mosalmanon ki aik alag sayasi tanzeem ki tajveez ko pasand kiya gaya aur nawab waqar ul mulk(jo uss jalsay ki sadarat kar rahay thay) hamayat ki aur yoon 1906 All Inida muslim leage qaim hoee jiss ka headquater Lakhnow main tha aur Sir Agha Khan uss kay pehlay sadar thay , shoroo main iss kay 6 vice presend b thay aur ibtadaee arakeen ki tadaad 400 kay qareeb thi Molana Mohammad Johir ne uss ka manshoor likha aur Syed Amir Ali ne 1908 main London main bhi muslim league ki shaakh qaim ki , jiss ne Mohammad Ali Jinnah ko Hindustan wapis lanay par amada kiya .. . .
aur dosri tarf 1915 main Gandhi ji bhi apnay rufqa kay israr par South Africa se wapis aay jo kay 1902 main hindustan choor kar chalay gay thay . .
Yeh ajeeb momaslat hai dono rahnamaoon main (Jinah aur Gandhi) kay dono ne wakalat ki taleem hasil ki dono ne practice hinudstan main shoro ki doono hi mayoos ho kar hindustan choor gay aur dono hi apnay dostoon kay kahnay par wapis hindustan aay aur dono ne apni apni qoom ko angrezoon se azaadi dilwaee . . . jang aik thi, magar iss kay anjaam do hoay . . . .
Do azeem rahnuma Jinnah aur Gandhi shoro main ikhtay thay aur dono hi Hindu Muslim ithaad kay qail thay , iss liya aik arsay tak Muslim League aur Congress main koee khas ikhtlaaf samnay nahi aaya, balkay Gandhi aur Jinnah kay darmayan masalasal rabta raha, aur issi ki wajah se 1915 main Muslim League aur Congress ne mill kar islahaat ko mazeed wasat denay ki demand ki , aur iss main 16 rukni wafd ne Visroy se mill kay usay Hinudstan main hinudstanyon ki hakomat ki tajveez dee, aur in koshashon main Jinnah paish paish thay , aur issi wajah se unheen Sarojni Niado ne Hindu Muslim Ithaad ka safeer qarar diya tha . . .
Pehli jang-e-azeem kay baad se dunya main tabdeliyan shoro ho chuki thin, jin ka lamohala asar hindustan par bhi para, khas kar mosalmano par Usmani salatanat ka zawal bohat asar kar raha tha, jiss ki wajah se 1919 main Tahreek e Khilafat chalaee gaee, aur Gandhi ji ki Adm Tawan ki tahreek ne bhi iss ko bohat acha boost diya aur angrez bohat moshkil main par gay , Tahreek e Khalafat aur Adam Tawan ki tahreek main sekroon logon ko girftaar kar liya gaya, aur marshal law laga diya gya, magar iss ka sab se afsoos naak waqaya JalyaN wala bagh ka tha, jiss main taqreen 340 loog maray gay , iss waqay ka markzi kirdar General Dier tha, isi ki wajah se Jameeyat e Ulma e Hind ne Jihad ka fatwa diya aur loog joq dar joq iss tahreek main shamil honay lagay , magar Turkey haar gaya, aur mosalmano main bohat mayosi pheli , magar uss main ziada qasoor mosalmanon ka apna bhi tha jo tinkon ki tarah se bikhray hoay thay . . .
Simon Commision ne 1927 main kuch aur islahaat paish keen aur isi sall mosalmano ne Delhi Tajaveez paish keen jinheen congress ne pehlay manzoor kiya aur phir mostard kar diya jiss ki wajah se sab mosalmanoon ne aik all parties moslim confirance bolaee aur in halaat ka jaiza liya , 1928 main Jawahar Lal Nehro ne apni mashoor report paish ki jo mosalmano kay khilaf jati thin iss liya Muslim leage ne issay yaksar mostard kar diya aur yaheen se aik alag safar shoro hoa, Congress Hinduoon ki jamat ban gae aur moslim leauge mosalmano ki .. . .
Gool maiz conferances main bhi Hinudstan ki azadi ki baat ki gaee magar koee hatmi faizl naa hoo saka
1935 main jo qanoon bana jiss kay motabiq Congress aur Muslim league ko wazarteen mili magar Congress ne yeh hakomat nahi chalnay di ... . aur akhir kaar 1940 main Lahore kay jalsay main muslim legue ne alehda watan ka motalba kar diya . .. .
Hindu akhbaraat ne issay Qardad-e-Pakistan ka naam diya , jo aagay chal kar yeh baat sach sabit hoee hoee . . . . aur do qoomi nazriyay ki sachaee bhi samnay aa gaee ....
1942 main Cripps Mission ne mazeed islahaat deen magar Congress ki Hindustan Choor Do ki tahreek ne aur phir Subash Chandan Boslay ki INA (Indian National Army) kay qayam ne mazeem moshkilaat paida kar deen
1944 main Gandhi Jinnah mazakarat Pakistan kay Issue par nakaam ho gay aur 1946 main Muslim Leage ne apni wazartoon se hindustanyon k dill main moqam paida kar liya , aur 1946 main Cabinet Mission ne Hindustan ki khod mukhtari kay liya tajaweez paish kin aur jin ka ikhtataam 3 June 1947 kay azadi kay mansobay se hoa, aur Hindustan taqseem honay kay liya tayar ho gaya, Congress ne iss mansobay ki bohat mokhalfat ki gaee , magar mosalman-e-hind ne jo ahd 23 March 1940 ko kiya tha woh 14 August 1947 ko pora ho gaya .. . . Pakistan dunya kay naqshay par aik azeem islami mulkh ban kay ubhra . . .
24 gantoon kay baad Hindustan bhi 100 sala ghulami se azaad ho gaya . . . . ajj yeh dono mulk aik haqeeqat hain . . . aur hamari doa hai yeh mulkh amn o mohabbat se rahen . .

































LinkBack URL
About LinkBacks











