Ye ghazal dobara post kar raha hun
it was lost becoz of the site problems...!
Ek pal ka sawaal hai baba
Bemaar boht behaal hai baba
Is qadar hai bad gumani
Janay kis ki chaal hai baba
Tera tasavur, ruup, saraapa
Apna yehi to maal hai baba
Sab k apne kaaj aur dhanday
Ham ko tera khyaal hai baba
Baqi sab hain maati kankar
Aik tu he to laal hai baba
Be-zaar huay ho zafar ji se
Tum ne kia kamaal hai baba

































LinkBack URL
About LinkBacks















