GHAZAL

sood ke saath utaar leta hun
Main jo khushyaa'n udaar leta hun

Jis labaaday mein din guzarta hai
Shaam ko wo utaar leta hun

Muft dunya mein kuch nahi milta
Pyaar deta hoon pyaar leta hun

Sher Jis mein ke zikr ho tera
Uss ka sadqa utaar leta hun

SAAD ULLAH SOORAJ