GHAZAL
Ulfat kaa , dardo-gham kaa , parastaar koun hai
Duniyaa mein aaNsuon kaa talabgaar koun hai
KhushiyaaN chalaa huuN baaNTane aansuu baTorkar
Ulajhan hai mere saamane haqdaar koun hai
Zid par aDe huye hain ye dil bhii,dimaagh bhii
Ab dekhanaa hai inmein asardaar koun hai
Pahle talaash kiijiye manzil kii rahguzar
Phir sochiye ke raah mein diiwaar koun hai
Is paar main huu.N our ye TuuTii huyii si naao
aawaaz de rahaa hai jo us paar koun hai
GOVIND GULSHAN

































LinkBack URL
About LinkBacks














