Tanhaiyoon ki shaam may tanhai ka safar
kitnay kathin hain raastay bhi intizar ka
darya may rawani hay to mojain bhi sath hain
hum chaltay rahay sath dil-e-bekarrar k
jis nay bujha di lo meray dil k charagh ki
oss pay kia bharosa dil-o-jan war k
hay mujhko aas aega wo loat k ik din
dil kehta hay wo faisaly thay aitbaar k
hay phir bhi yakeen apni wafaon k mujhko aaj
thum jaengi sansein to din aengay bahar k
Chahat ki kasak or ye kathin raastay MUNIR
tune bhi kar liay hain safar raigzaar k
written by MuNiR (Kute Muskaan)





LinkBack URL
About LinkBacks
















